aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samaaton mein bahut dur ki sada le kar

Swappnil Tiwari

samaaton mein bahut dur ki sada le kar

Swappnil Tiwari

MORE BYSwappnil Tiwari

    samā.atoñ meñ bahut duur sadā le kar

    bhaTak rahā huuñ maiñ ik ḳhvāb patā le kar

    tumhārī yaad baras jaa.e to thakan kam ho

    kahāñ kahāñ maiñ phirūñ sar pe ab ghaTā le kar

    tamām hijr ke māroñ shab ke dariyā meñ

    maiñ Duub jā.ūñ vahī chāñd ghaḌā le kar

    tumhārā ḳhvāb bhī aa.e to niiñd puurī ho

    maiñ so to jā.ūñgā niiñd aane davā le kar

    maiñ ḳhud se duur nikaltā gayā udhaḌtā huā

    ḳhud apnī zaat se niklā huā sirā le kar

    tamām shahr ta.amīr dhuup ne hai

    milegī chhāñv bhī us aasrā le kar

    bachā hai mujh meñ bas ik āḳhirī sharar 'ātish'

    koī to aa.e tirī yaad havā le kar

    samaaton mein bahut dur ki sada le kar

    bhaTak raha hun main ek KHwab ka pata le kar

    tumhaari yaad baras jae to thakan kam ho

    kahan kahan main phirun sar pe ab ghaTa le kar

    tamam hijr ke maron sa shab ke dariya mein

    main Dub jaun wahi chand ka ghaDa le kar

    tumhaara KHwab bhi aae to nind puri ho

    main so to jaunga nind aane ki dawa le kar

    main KHud se dur nikalta gaya udhaDta hua

    KHud apni zat se nikla hua sira le kar

    tamam shahr ki tamir dhup ne ki hai

    milegi chhanw bhi us ka hi aasra le kar

    bacha hai mujh mein bas ek aaKHiri sharar 'atish'

    koi to aae teri yaad ki hawa le kar

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Swappnil Tiwari

    Swappnil Tiwari

    Source:

    Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 43)

    • Author: Swapnil Tiwari
      • Edition: 2015
      • Publisher: Anybook, Gurgaon
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now