Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saman-baron se chaman daulat-e-numu mange

Gauhar Hoshiyarpuri

saman-baron se chaman daulat-e-numu mange

Gauhar Hoshiyarpuri

MORE BYGauhar Hoshiyarpuri

    saman-baroñ se chaman daulat-e-numū māñge

    havā-e-dāman-e-gul gesuoñ māñge

    tarāz-e-shoḳhī-e-pā hai gyāh-e-sabz maañg

    ḳhirām-e-nāz andāz āb-jū māñge

    bikhartī zulf se TuuTe ġhurūr-e-shab tilism

    sahar husn fusūn-e-ruḳh-e-nikū māñge

    varaq varaq gul-e-tar mauj mauj bād-e-sahar

    badan lams tire pairahan māñge

    shigāf-e-koh na thā tesha-e-vafā talab

    ye jū-e-shīr abhī aur kuchh lahū māñge

    shikasta-e-shīsha-e-pindār sadā bhī sun

    karam bhiik jab us sañg-dil se māñge

    kahāñ vo shoḳh magar apnā nutq-o-lab 'gauhar'

    usī zikr pa.e-zeb-e-guftugū māñge

    saman-baron se chaman daulat-e-numu mange

    hawa-e-daman-e-gul gesuon ki bu mange

    taraaz-e-shoKHi-e-pa hai gyah-e-sabz ki mang

    KHiram-e-naz ka andaz aab-ju mange

    bikharti zulf se TuTe ghurur-e-shab ka tilism

    sahar ka husn fusun-e-ruKH-e-niku mange

    waraq waraq gul-e-tar mauj mauj baad-e-sahar

    badan ka lams tere pairahan ki bu mange

    shigaf-e-koh na tha tesha-e-wafa ki talab

    ye ju-e-shir abhi aur kuchh lahu mange

    shikasta-e-shisha-e-pindar ki sada bhi sun

    karam ki bhik jab us sang-dil se tu mange

    kahan wo shoKH magar apna nutq-o-lab 'gauhar'

    usi ka zikr pae-zeb-e-guftugu mange

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 463)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now