aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sannaTa tufan se siwa ho ye bhi to ho sakta hai

Akbar Ali Khan Arshi Zadah

sannaTa tufan se siwa ho ye bhi to ho sakta hai

Akbar Ali Khan Arshi Zadah

MORE BYAkbar Ali Khan Arshi Zadah

    sannāTā tūfāñ se sivā ho ye bhī to ho saktā hai

    ye kuchh aur baḌā dhokā ho ye bhī to ho saktā hai

    zabt-e-junūñ se andāzoñ par dar to band nahīñ hote

    mujh se baḌh kar rusvā ho ye bhī to ho saktā hai

    rahne de ye harf-e-tasallī merī himmat past na kar

    nākāmī meñ rastā ho ye bhī to ho saktā hai

    DhūñDne vaalā DhūñD rahā hai aur andāz jafāoñ ke

    mujh ko vafā zaḳhm lagā ho ye bhī to ho saktā hai

    laao ik lamhe ko apne-āp meñ Duub ke dekh aa.uuñ

    ḳhud mujh meñ merā ḳhudā ho ye bhī to ho saktā hai

    mujh ko to ye e.azāz bahut hai lekin terī tamannā ne

    mere laboñ se kaam liyā ho ye bhī to ho saktā hai

    āḳhir apne qadmoñ ko kyuuñ ham mulzim Thahrāte haiñ

    rāhoñ ne muñh moḌ liyā ho ye bhī to ho saktā hai

    mere tasavvur ne baḳhshī hai tanhā.ī ko bhī ik mahfil

    mahfil mahfil tanhā ho ye bhī to ho saktā hai

    sannaTa tufan se siwa ho ye bhi to ho sakta hai

    ye kuchh aur baDa dhoka ho ye bhi to ho sakta hai

    zabt-e-junun se andazon par dar to band nahin hote

    tu mujh se baDh kar ruswa ho ye bhi to ho sakta hai

    rahne de ye harf-e-tasalli meri himmat past na kar

    nakaami hi mein rasta ho ye bhi to ho sakta hai

    DhunDne wala DhunD raha hai aur andaz jafaon ke

    mujh ko wafa ka zaKHm laga ho ye bhi to ho sakta hai

    lao ek lamhe ko apne-ap mein Dub ke dekh aaun

    KHud mujh mein hi mera KHuda ho ye bhi to ho sakta hai

    mujh ko to ye eazaz bahut hai lekin teri tamanna ne

    mere labon se kaam liya ho ye bhi to ho sakta hai

    aaKHir apne qadmon ko kyun hum mulzim Thahraate hain

    rahon ne munh moD liya ho ye bhi to ho sakta hai

    mere tasawwur ne baKHshi hai tanhai ko bhi ek mahfil

    tu mahfil mahfil tanha ho ye bhi to ho sakta hai

    Source:

    Sukhan Mere Tumhare Darmiyan (Pg. B-180 E-200)

    • Author: Akbar Ali Khan Arshi Zadah
      • Edition: 1938
      • Publisher: Rifat Jahan Begam
      • Year of Publication: 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now