Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar ko aawaz se wahshat hi sahi

Aamir Suhail

sar ko aawaz se wahshat hi sahi

Aamir Suhail

MORE BYAamir Suhail

    sar ko āvāz se vahshat sahī

    aur vahshat meñ aziyyat sahī

    ḳhāk-zādī tire ushshāq bahut

    maiñ tirī yaad se ġhārat sahī

    vo kahāñ haiñ ki jo maslūb na the

    merī miTTī meñ baġhāvat sahī

    āh-o-āhañg-o-ihānat ke kanār

    ai mirī pyaas pe tohmat sahī

    ḳhud se mīsāq ġhalat thā merā

    ai tire ḳhvāb zarūrat sahī

    ishq ai ishq azādār huuñ maiñ

    dosh pe bār-e-hazīmat sahī

    phir kisī ḳhvāb bai.at kar leñ

    phir kisī dukh tilāvat sahī

    ek ḳhvāhish ki jise sīñch sakeñ

    rā.igānī riyāzat sahī

    ham se kuchh aur to kyā honā hai

    ik tire ġham hifāzat sahī

    lauTte haiñ ki bulātā hai koī

    bārish-e-sañg-e-malāmat sahī

    TūTte haiñ ki nasha TūTtā hai

    ḳhud se milne meñ aziyyat sahī

    ab kisī aur ḳhvāhish kahāñ

    ab tire hijr se fursat sahī

    kāġhzī shahr uḌe jaate haiñ vo

    āsmānoñ rifāqat sahī

    sar ko aawaz se wahshat hi sahi

    aur wahshat mein aziyyat hi sahi

    KHak-zadi tere ushshaq bahut

    main teri yaad se ghaarat hi sahi

    wo kahan hain ki jo maslub na the

    meri miTTi mein baghawat hi sahi

    aah-o-ahang-o-ihanat ke kanar

    ai meri pyas pe tohmat hi sahi

    KHud se misaq ghalat tha mera

    ai tere KHwab zarurat hi sahi

    ishq ai ishq azadar hun main

    dosh pe bar-e-hazimat hi sahi

    phir kisi KHwab ki baiat kar len

    phir kisi dukh ki tilawat hi sahi

    ek KHwahish ki jise sinch saken

    raigani ki riyazat hi sahi

    hum se kuchh aur to kya hona hai

    ek tere gham ki hifazat hi sahi

    lauTte hain ki bulata hai koi

    barish-e-sang-e-malamat hi sahi

    TuTte hain ki nasha TuTta hai

    KHud se milne mein aziyyat hi sahi

    ab kisi aur ki KHwahish hi kahan

    ab tere hijr se fursat hi sahi

    kaghzi shahr uDe jate hain wo

    aasmanon ki rifaqat hi sahi

    Source:

    Mashhad-e-Ishq (Pg. 62)

    • Author: Aamir Suhail
      • Publisher: Sanjh Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now