Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sar pe tegh-e-be-aman hathon mein pyala zahr ka

Mohsin Ehsan

sar pe tegh-e-be-aman hathon mein pyala zahr ka

Mohsin Ehsan

MORE BYMohsin Ehsan

    sar pe teġh-e-be-amāñ hāthoñ meñ pyāla zahr

    kis tarah hoñToñ pe lā.ūñ haal apne shahr

    bah rahe haiñ pāniyoñ meñ ghar safīnoñ tarah

    sāhiloñ se is tarah uchhlā hai paanī nahr

    us badan par ab qabā-e-shahryārī tang hai

    jis ne chhīnā hai kafan tak har ġharīb-e-shahr

    rang āñkhoñ meñ 'ajab qaus-e-quzah ke ghul ga.e

    dīdanī hai mauj meñ aanā lahū lahr

    dushmanī mai to chhalkī hai bahut 'mohsin' magar

    zā.iqa kuchh aur hai dostī ke zahr

    sar pe tegh-e-be-aman hathon mein pyala zahr ka

    kis tarah honTon pe laun haal apne shahr ka

    bah rahe hain paniyon mein ghar safinon ki tarah

    sahilon se is tarah uchhla hai pani nahr ka

    us badan par ab qaba-e-shahryari tang hai

    jis ne chhina hai kafan tak har gharib-e-shahr ka

    rang aankhon mein 'ajab qaus-e-quzah ke ghul gae

    didani hai mauj mein aana lahu ki lahr ka

    dushmani ki mai to chhalki hai bahut 'mohsin' magar

    zaiqa kuchh aur hi hai dosti ke zahr ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now