Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sard aahon ne mere zaKHmon ko aabaad kiya

Nawab Moazzam Jah Shaji

sard aahon ne mere zaKHmon ko aabaad kiya

Nawab Moazzam Jah Shaji

MORE BYNawab Moazzam Jah Shaji

    sard aahoñ ne mire zaḳhmoñ ko ābād kiyā

    dil choToñ ne jo rah rah ke tujhe yaad kiyā

    mehrbānī mire sayyād dekhe koī

    jab ḳhizāñ aa.ī mujhe qaid se āzād kiyā

    mahfil-e-nāz se laayā jo yahāñ tak un ko

    ne ye kaam ajab ai dil-e-nāshād kiyā

    mai-kashoñ ne use saaqī ishāra samjhā

    jhuk ke shīshe ne jo sāġhar se kuchh irshād kiyā

    dil-e-betāb ko mushkil se sambhālā thā magar

    zabt-e-ġham ne mujhe āmāda-e-fariyād kiyā

    kaam jab kuchh na banā ishq nākāmī se

    dard ne aap ko sharminda-e-be-dād kiyā

    ḳhud mujhe bhī nahīñ barbādī ehsās 'shajī.a'

    is salīqe se kisī ne mujhe barbād kiyā

    sard aahon ne mere zaKHmon ko aabaad kiya

    dil ki choTon ne jo rah rah ke tujhe yaad kiya

    mehrbani mere sayyaad ki dekhe koi

    jab KHizan aai mujhe qaid se aazad kiya

    mahfil-e-naz se laya jo yahan tak un ko

    tu ne ye kaam ajab ai dil-e-nashad kiya

    mai-kashon ne use saqi ka ishaara samjha

    jhuk ke shishe ne jo saghar se kuchh irshad kiya

    dil-e-betab ko mushkil se sambhaala tha magar

    zabt-e-gham ne mujhe aamada-e-fariyaad kiya

    kaam jab kuchh na bana ishq ki nakaami se

    dard ne aap ko sharminda-e-be-dad kiya

    KHud mujhe bhi nahin barbaadi ka ehsas 'shajia'

    is saliqe se kisi ne mujhe barbaad kiya

    Source:

    Jazbat-e-Shajee (Pg. 15)

    • Author: Nawab Moazzam Jah Shaji
      • Edition: 1983
      • Publisher: Husami Book Depot, Hyderabad
      • Year of Publication: 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now