Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sard ThiThuri hui lipTi hui sarsar ki tarah

Mansoor Aafaque

sard ThiThuri hui lipTi hui sarsar ki tarah

Mansoor Aafaque

MORE BYMansoor Aafaque

    sard ThiThurī huī lipTī huī sarsar tarah

    zindagī mujh se milī pichhle december tarah

    kis tarah dekhnā mumkin thā kisī aur taraf

    maiñ ne dekhā hai tujhe āḳhirī manzar tarah

    haath rakh lams bharī tez nazar ke aage

    chīrtī jaatī hai siina mirā ḳhanjar tarah

    bārisheñ us lab-o-lahja pahan letī thiiñ

    shor kartī thī vo barsāt meñ jhāñjhar tarah

    kachchī miTTī mahak oḌh ke itrātī thī

    maiñ use dekhtā rahtā thā samundar tarah

    pallū girtā huā saaḌī uThā kar 'mansūr'

    chaltī hai chhalkī huī duudh gāgar tarah

    sard ThiThuri hui lipTi hui sarsar ki tarah

    zindagi mujh se mili pichhle december ki tarah

    kis tarah dekhna mumkin tha kisi aur taraf

    main ne dekha hai tujhe aaKHiri manzar ki tarah

    hath rakh lams bhari tez nazar ke aage

    chirti jati hai sina mera KHanjar ki tarah

    barishen us ka lab-o-lahja pahan leti thin

    shor karti thi wo barsat mein jhanjhar ki tarah

    kachchi miTTi ki mahak oDh ke itraati thi

    main use dekhta rahta tha samundar ki tarah

    pallu girta hua saDi ka uTha kar 'mansur'

    chalti hai chhalki hui dudh ki gagar ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now