sawad-e-dasht ki sehn-e-chaman se guzre hain
savād-e-dasht ki sehn-e-chaman se guzre haiñ
jahāñ se guzre baḌe bāñkpan se guzre haiñ
taġhayyurāt-e-zamāna se kyā Darāte ho
ham āzmā.ish-e-dār-o-rasan se guzre haiñ
bharā huā hai guloñ se nigāh kā dāman
na jaane kaun salīboñ ke ban se guzre haiñ
har ek shāḳh hai raqsāñ har ek gul ḳhandāñ
sabā ke qāfile sahn-e-chaman se guzre haiñ
kiyā hai jab bhī tasavvur hayāt kā 'mumtāz'
har ek baar usī anjuman se guzre haiñ
sawad-e-dasht ki sehn-e-chaman se guzre hain
jahan se guzre baDe bankpan se guzre hain
taghayyuraat-e-zamana se kya Daraate ho
hum aazmaish-e-dar-o-rasan se guzre hain
bhara hua hai gulon se nigah ka daman
na jaane kaun salibon ke ban se guzre hain
har ek shaKH hai raqsan har ek gul KHandan
saba ke qafile sahn-e-chaman se guzre hain
kiya hai jab bhi tasawwur hayat ka 'mumtaz'
har ek bar usi anjuman se guzre hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.