aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawal tujhse shab-o-roz mera chalta raha

Ejaz Ahmad Ejaz

sawal tujhse shab-o-roz mera chalta raha

Ejaz Ahmad Ejaz

MORE BYEjaz Ahmad Ejaz

    savāl tujh se shab-o-roz merā chaltā rahā

    javāb terā havāoñ meñ mujh ko miltā rahā

    falak pe chāñd sitāroñ kārvāñ bhī bujhā

    tumhārī yaad lekin charāġh jaltā rahā

    qarīb-e-marg jo dekhā to paas koī na thā

    tamām umr ye phir kaun saath chaltā rahā

    balā ke habs meñ saarī zamīn suukh ga.ī

    magar ye pyaar paudā thā phir bhī phaltā rahā

    maiñ bevafā bhī kahūñ kis tarah tujhe jānāñ

    ban ke bād-e-sabā roz mujh se miltā rahā

    maiñ e'tibār mohabbat terī kyā kartā

    bayān terā to har roz badaltā rahā

    rafū maiñ kartā bhī 'aijāz' kaise zaḳhmoñ ko

    zabāñ zaḳhm thā ye guftugū se siltā rahā

    sawal tujh se shab-o-roz mera chalta raha

    jawab tera hawaon mein mujh ko milta raha

    falak pe chand sitaron ka karwan bhi bujha

    tumhaari yaad ka lekin charagh jalta raha

    qarib-e-marg jo dekha to pas koi na tha

    tamam umr ye phir kaun sath chalta raha

    bala ke habs mein sari zamin sukh gai

    magar ye pyar ka pauda tha phir bhi phalta raha

    main bewafa bhi kahun kis tarah tujhe jaanan

    tu ban ke baad-e-saba roz mujh se milta raha

    main e'tibar mohabbat ka teri kya karta

    bayan tera to har roz hi badalta raha

    rafu main karta bhi 'aijaz' kaise zaKHmon ko

    zaban ka zaKHm tha ye guftugu se silta raha

    Source:

    اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 219)

      • Publisher: کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now