Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sehat achchhi na ho to zulf-e-niswani se bachna

Khalid Irfan

sehat achchhi na ho to zulf-e-niswani se bachna

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    sehat achchhī na ho to zulf-e-nisvānī se bachnā

    fishār-e-ḳhūñ ke hamle meñ namak-dānī se bachnā

    na ho income to bachchoñ farāvānī se bachnā

    ġharībī meñ faroġh-e-nasl-e-insānī se bachnā

    bahut mushkil hai begam nigahbānī se bachnā

    samundar meñ bhī rahnā aur tuġhyānī se bachnā

    guzishta ahd meñ dhoka bahut khāyā hai tum ne

    magar is baar 'zardārī' o 'gīlānī' se bachnā

    ḳhudā tum ko vazīr-e-bijlī-o-pānī banā de

    to phir tum sārafīn-e-bijlī-o-pānī se bachnā

    ḳhudā ke ghar meñ visa-card system nahīñ hai

    credit-card ke bakre qurbānī se bachnā

    tumheñ lahore ke fōtpath permit milā hai

    lihāzā rā.e-vinD ke qasr-e-sultānī se bachnā

    tumheñ ai 'ḳhālid'-e-irfān merā mashvara hai

    ġhazal kahnā magar har ġhazal-ḳhvānī se bachnā

    sehat achchhi na ho to zulf-e-niswani se bachna

    fishaar-e-KHun ke hamle mein namak-dani se bachna

    na ho income to bachchon ki farawani se bachna

    gharibi mein farogh-e-nasl-e-insani se bachna

    bahut mushkil hai begam ki nigahbani se bachna

    samundar mein bhi rahna aur tughyani se bachna

    guzishta ahd mein dhoka bahut khaya hai tum ne

    magar is bar 'zardari' o 'gilani' se bachna

    KHuda tum ko wazir-e-bijli-o-pani bana de

    to phir tum sarafin-e-bijli-o-pani se bachna

    KHuda ke ghar mein wisa-card ka system nahin hai

    credit-card ke bakre ki qurbani se bachna

    tumhein lahore ke footpath ka permit mila hai

    lihaza rae-winD ke qasr-e-sultani se bachna

    tumhein ai 'KHalid'-e-irfan mera mashwara hai

    ghazal kahna magar har ja ghazal-KHwani se bachna

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now