aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab KHwab mein dekha tha majnun ko kahin apne

Insha Allah Khan Insha

shab KHwab mein dekha tha majnun ko kahin apne

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    shab ḳhvāb meñ dekhā thā majnūñ ko kahīñ apne

    dil se jo karāh uTThī lailā ko liyā tap ne

    dekhe tire jalva ko bāmhan jo beTī bhī

    muñh se vahīñ kalme ko yakbār lage japne

    hai jins parī kuchh aadam to nahīñ aslan

    ik aag lagā hai us amard-e-ḳhush-gap ne

    is tarah ke milne meñ kyā lutf rahā baaqī

    ham us se lage rukne vo ham se lagā chhapne

    hañgām-e-suḳhan-sanjī ātish zabānī ko

    sharminda kiyā ai dil us shoḳh ke gap-shap ne

    har amr meñ duniyā ke maujūd jidhar dekho

    aadam ko kiyā hairāñ shaitān lap-jhap ne

    garmī se mire dil is mausam-e-sarmā meñ

    ye gumbad-e-gardūñ bhī yakbār lagā tapne

    rah vādī-e-aiman letā huuñ ki ghabrāyā

    is dil badaulat yaañ mujh ko taraf-e-chap ne

    hai ham se bhī ho saktā jo kuchh na kiyā hogā

    majnūñ se jafā-kash ne farhād se sar-khap ne

    chal haT bhī pare bijlī dil bādaloñ ko le kar

    dahlā hai diyā terī talvāroñ shap shap ne

    kab tak na karāhūñ maiñ naala na bharūñ kyūñ-kar

    maiñ kyā karūñ ai 'inshā' ab lagā khapne

    shab KHwab mein dekha tha majnun ko kahin apne

    dil se jo karah uTThi laila ko liya tap ne

    dekhe tere jalwa ko baamhan ki jo beTi bhi

    munh se wahin kalme ko yakbar lage japne

    hai jins pari sa kuchh aadam to nahin aslan

    ek aag laga di hai us amard-e-KHush-gap ne

    is tarah ke milne mein kya lutf raha baqi

    hum us se lage rukne wo hum se laga chhapne

    hangam-e-suKHan-sanji aatish ki zabani ko

    sharminda kiya ai dil us shoKH ke gap-shap ne

    har amr mein duniya ke maujud jidhar dekho

    aadam ko kiya hairan shaitan ki lap-jhap ne

    garmi se mere dil ki is mausam-e-sarma mein

    ye gumbad-e-gardun bhi yakbar laga tapne

    rah wadi-e-aiman ki leta hun ki ghabraya

    is dil ki badaulat yan mujh ko taraf-e-chap ne

    hai hum se bhi ho sakta jo kuchh na kiya hoga

    majnun se jafa-kash ne farhad se sar-khap ne

    chal haT bhi pare bijli dil baadalon ko le kar

    dahla hai diya teri talwaron ki shap shap ne

    kab tak na karahun main nala na bharun kyun-kar

    main kya karun ai 'insha' ab ji hi laga khapne

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 183)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now