Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shab ki palkon pe hun Thahre hue aansu ki tarah

Afzal Allahabadi

shab ki palkon pe hun Thahre hue aansu ki tarah

Afzal Allahabadi

MORE BYAfzal Allahabadi

    shab palkoñ pe huuñ Thahre hue aañsū tarah

    sub.h hote maiñ kho jā.ūñgā jugnū tarah

    dekh saktā nahīñ mahsūs to kar saktā huuñ

    mujh meñ tahlīl huā hai koī ḳhushbū tarah

    raqs kartā hai mire dil ke shabistāñ meñ koī

    aur sadā aatī hai bajte hue ghuñghrū tarah

    merī ḳhushbū pareshān kiye hai mujh ko

    dil ke sahrā meñ bhaTaktā huuñ maiñ aahū tarah

    mere hālāt ḳhud mujh ko banā dete haiñ

    kabhī sho.ala kabhī shabnam kabhī aañsū tarah

    ḳhalvat-e-shab ho ki jalvat hasīñ mahfil ho

    ham ne mahsūs kiyā hai use ḳhushbū tarah

    dhuup meñ aatā hai jab us tasavvur 'afzal'

    mere ehsās pe chhā jaatā hai gesū tarah

    shab ki palkon pe hun Thahre hue aansu ki tarah

    subh hote hi main kho jaunga jugnu ki tarah

    dekh sakta nahin mahsus to kar sakta hun

    mujh mein tahlil hua hai koi KHushbu ki tarah

    raqs karta hai mere dil ke shabistan mein koi

    aur sada aati hai bajte hue ghunghru ki tarah

    meri KHushbu hi pareshan kiye hai mujh ko

    dil ke sahra mein bhaTakta hun main aahu ki tarah

    mere haalat hi KHud mujh ko bana dete hain

    kabhi shoala kabhi shabnam kabhi aansu ki tarah

    KHalwat-e-shab ho ki jalwat ki hasin mahfil ho

    hum ne mahsus kiya hai use KHushbu ki tarah

    dhup mein aata hai jab us ka tasawwur 'afzal'

    mere ehsas pe chha jata hai gesu ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now