Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shabdon ki madhira se bhigo kar teri choli

Nasir Shahzad

shabdon ki madhira se bhigo kar teri choli

Nasir Shahzad

MORE BYNasir Shahzad

    shabdoñ madhira se bhigo kar tirī cholī

    khelī hai sahelī tire sanjog meñ holī

    dar aa.e darāḌoñ kabhī dīvāroñ se paalā

    barsāt meñ Tapke hai mirā ghar mirī kholī

    ḳhushbū ko uThā kar rakhā dāmān-e-duā meñ

    sūraj kiran ruuh ke parde meñ piro

    tote ne kahā kaun thā dariyā pe batā de

    muuī hai kahāñ ke mainā mujhe bolī

    is aas is pyaas daarū nahīñ koī

    dayyā kanhaiyā se kaho laa.e na Dolī

    bhaiñseñ churā.e ki kahīñ taḳht suhā.e

    ye aan janad jaan tire naam pe gholī

    sahrā meñ milā ḳhaak idrāk badan par

    kohsār pe tā-mās bū-bās se dho

    sau baar luTā chainā bahe ban tire nainā

    ashkoñ se bharī dekhī hai sau baar ye jholī

    rig-ved meñ ashlok haiñ lok sunā.eñ

    bādal ghire mausam phire pustak jahāñ phūlī

    maqtal se guzar kar jo baḌhe shāḳh-e-sināñ tak

    ye ziist tujhe dekh ke us raah pe ho

    shabdon ki madhira se bhigo kar teri choli

    kheli hai saheli tere sanjog mein holi

    dar aae daraDon kabhi diwaron se pala

    barsat mein Tapke hai mera ghar meri kholi

    KHushbu ko uTha kar rakha daman-e-dua mein

    suraj ki kiran ruh ke parde mein piro li

    tote ne kaha kaun tha dariya pe bata de

    mui hai kahan ja ke tu maina mujhe boli

    is aas ka is pyas ka daru nahin koi

    dayya ri kanhaiya se kaho lae na Doli

    tu bhainsen churae ki kahin taKHt suhae

    ye aan janad jaan tere nam pe gholi

    sahra mein mila KHak ka idrak badan par

    kohsar pe ta-mas ki bu-bas se dho li

    sau bar luTa chaina bahe ban tere naina

    ashkon se bhari dekhi hai sau bar ye jholi

    rig-wed mein ashlok hain ya lok sunaen

    baadal ghire mausam phire pustak jahan phuli

    maqtal se guzar kar jo baDhe shaKH-e-sinan tak

    ye zist tujhe dekh ke us rah pe ho li

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now