Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shabnam bhigi ghas pe chalna kitna achchha lagta hai

Parkash Fikri

shabnam bhigi ghas pe chalna kitna achchha lagta hai

Parkash Fikri

MORE BYParkash Fikri

    shabnam bhīgī ghaas pe chalnā kitnā achchhā lagtā hai

    paañv tale jo motī bikhreñ jhilmil rasta lagtā hai

    jaaḌe is dhuup ne dekho kaisā jaadū pher diyā

    behad sabz daraḳhtoñ bhī rañg sunahrā lagtā hai

    bheḌeñ ujlī jhaag ke jaisī sabza ek samundar

    duur khaḌā vo parbat niilā ḳhvāb meñ khoyā lagtā hai

    jis ne sab mail kasāfat dhoī apne hāthoñ se

    dariyā kitnā ujlā hai vo shīshe jaisā lagtā hai

    andar bāhar ek ḳhamoshī ek jalan bechainī se

    kis ko ham batlā.eñ āḳhir ye sab kaisā lagtā hai

    shaam lahakte jazboñ vaalī 'fikrī' kab raakh huī

    chāñd-rū pahlī kirnoñ vaalā dard maarā lagtā hai

    shabnam bhigi ghas pe chalna kitna achchha lagta hai

    panw tale jo moti bikhren jhilmil rasta lagta hai

    jaDe ki is dhup ne dekho kaisa jadu pher diya

    behad sabz daraKHton ka bhi rang sunahra lagta hai

    bheDen ujli jhag ke jaisi sabza ek samundar sa

    dur khaDa wo parbat nila KHwab mein khoya lagta hai

    jis ne sab ki mail kasafat dhoi apne hathon se

    dariya kitna ujla hai wo shishe jaisa lagta hai

    andar bahar ek KHamoshi ek jalan bechaini se

    kis ko hum batlaen aaKHir ye sab kaisa lagta hai

    sham lahakte jazbon wali 'fikri' kab ki rakh hui

    chand-ru pahli kirnon wala dard ka mara lagta hai

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 367)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now