Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shagufta bachchon ka chehra dikhai dene lage

Salam Machhli shahri

shagufta bachchon ka chehra dikhai dene lage

Salam Machhli shahri

MORE BYSalam Machhli shahri

    shagufta bachchoñ chehra dikhā.ī dene lage

    maiñ kyā karūñ ki ujālā dikhā.ī dene lage

    ye saḳht zulm hai mālik ki sub.h hote

    tamām ghar meñ añdherā dikhā.ī dene lage

    vo sirf maiñ huuñ jo sau jannateñ sajā kar bhī

    udaas udaas tanhā dikhā.ī dene lage

    maiñ kāmyāb jabhī hūñgā ai rubāb-e-hayāt

    ki bazm ko tirā naġhma dikhā.ī dene lage

    gulāb ugāne aadat se fā.eda kyā hai

    agar gulāb meñ sho.ala dikhā.ī dene lage

    mirā aks sahī phir bhī vo farishta hai

    jo ġhair ho ke bhī apnā dikhā.ī dene lage

    bahut aliil ho lekin ye buz-dilī hai 'salām'

    ki tum ko maut saaya dikhā.ī dene lage

    shagufta bachchon ka chehra dikhai dene lage

    main kya karun ki ujala dikhai dene lage

    ye saKHt zulm hai malik ki subh hote hi

    tamam ghar mein andhera dikhai dene lage

    wo sirf main hun jo sau jannaten saja kar bhi

    udas udas sa tanha dikhai dene lage

    main kaamyab jabhi hunga ai rubab-e-hayat

    ki bazm ko tera naghma dikhai dene lage

    gulab ugane ki aadat se faeda kya hai

    agar gulab mein shoala dikhai dene lage

    mera hi aks sahi phir bhi wo farishta hai

    jo ghair ho ke bhi apna dikhai dene lage

    bahut alil ho lekin ye buz-dili hai 'salam'

    ki tum ko maut ka saya dikhai dene lage

    Source:

    Intekhab-e-Kalam Salam Machhli Shahri (Pg. 108)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now