Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shahr dar shahr ba-andaz-e-digar raushan hai

Naz Qadri

shahr dar shahr ba-andaz-e-digar raushan hai

Naz Qadri

MORE BYNaz Qadri

    shahr dar shahr ba-andāz-e-digar raushan hai

    har taraf apnī sadā apnā hunar raushan hai

    paañv ḳhaak chamaktī hai sar-e-rāhguzar

    koī mish.al nahīñ har naqsh-e-safar raushan hai

    jis ne sho.aloñ ko sikhāyā hai lapakne shu.ūr

    raakh ke Dher meñ ab bhī vo sharar raushan hai

    khīñch kis ne añdhere meñ ujāle lakīr

    ek ummīd pe har tār-e-nazar raushan hai

    qāfile vāloñ ko manzil pata yaad nahīñ

    hausla hai to har ik rāh-e-safar raushan hai

    sub.h se pahle bujhne lage ḳhvāboñ ke charāġh

    raat ke sahn meñ yādoñ khañDar raushan hai

    shahr dar shahr ba-andaz-e-digar raushan hai

    har taraf apni sada apna hunar raushan hai

    panw ki KHak chamakti hai sar-e-rahguzar

    koi mishal nahin har naqsh-e-safar raushan hai

    jis ne shoalon ko sikhaya hai lapakne ka shuur

    rakh ke Dher mein ab bhi wo sharar raushan hai

    khinch di kis ne andhere mein ujale ki lakir

    ek ummid pe har tar-e-nazar raushan hai

    qafile walon ko manzil ka pata yaad nahin

    hausla hai to har ek rah-e-safar raushan hai

    subh se pahle hi bujhne lage KHwabon ke charagh

    raat ke sahn mein yaadon ka khanDar raushan hai

    Source:

    (Pg. 103)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now