Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shaiKH o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib

Shauq Bahraichi

shaiKH o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib

Shauq Bahraichi

MORE BYShauq Bahraichi

    shaiḳh o barhaman donoñ haiñ bar-haq donoñ har kaam munāsib

    bech leñ fauran dair-o-haram bhī paa.eñ kahīñ gar daam munāsib

    merā to har ik fe.al 'abas hai ġhair har iqdām munāsib

    vāqi'a ye hai piiv jise chāheñ us suhāgan naam munāsib

    vaqt paiham yuuñ hai taqāzā rahbar-e-sad-sāla ko haTā do

    jaise purānī chiiz aksar hotā hai nīlām munāsib

    ḳhauf hai din ko dekhe na duniyā ho na taqaddus aap rusvā

    qasd hai mai-ḳhāne jo vā'iz is ke liye hai shaam munāsib

    tere taġhāful ne kiyā zaḳhmī terī adāoñ ne hameñ maarā

    chāhne vāloñ ke liye zālim the yahī atom-bām munāsib

    tujh ko ḳhabar kyā is nahīñ hai sāthī kahāñ se pahuñche kahāñ tak

    hosh meñ aa ārām ke bachche ab hai nahīñ ārām munāsib

    ye tirī sāda-lauhiyāñ nāseh rañg kisī din ke raheñgī

    ḳhuub banegī terī hajāmat mil ga.e gar hajjām munāsib

    sīm-o-javāhir māh-laqā le apnī harīm-e-nāz sajā le

    ḳhuub maze duniyā ke uḌā le haiñ abhī ye ayyām munāsib

    baat bhī un se na kisī ne aarzū dil rah ga.ī dil meñ

    ghar meñ baiThī rah ga.ī laḌkī aayā na ik paiġhām munāsib

    shaiḳh o barhaman se koī kah de ruḳh na kareñ bhūle se udhar

    ye hai mai-ḳhāna nahīñ is meñ dāḳhila-e-ayyām munāsib

    jaur-o-sitam Dhāne meñ jo paiham aayā hai un ke ruḳh pe pasīna

    hai mire armānoñ ke nahāne ke liye ye hammām munāsib

    baat koī iz.hār-e-haqīqat meñ bhī uThā rakhnā nahīñ zālim

    'shauq' kabhī ash'ār meñ jaise hotā nahīñ ilhām munāsib

    shaiKH o barhaman donon hain bar-haq donon ka har kaam munasib

    bech len fauran dair-o-haram bhi paen kahin gar dam munasib

    mera to har ek feal 'abas hai ghair ka har iqdam munasib

    waqi'a ye hai piw jise chahen us ka suhagan nam munasib

    waqt ka paiham yun hai taqaza rahbar-e-sad-sala ko haTa do

    jaise purani chiz ka aksar hota hai nilam munasib

    KHauf hai din ko dekhe na duniya ho na taqaddus aap ka ruswa

    qasd hai mai-KHane ka jo wa'iz is ke liye hai sham munasib

    tere taghaful ne kiya zaKHmi teri adaon ne hamein mara

    chahne walon ke liye zalim the yahi atom-baam munasib

    tujh ko KHabar kya is ki nahin hai sathi kahan se pahunche kahan tak

    hosh mein aa aaram ke bachche ab hai nahin aaram munasib

    ye teri sada-lauhiyan naseh rang kisi din la ke rahengi

    KHub banegi teri hajamat mil gae gar hajjam munasib

    sim-o-jawahir mah-laqa le apni harim-e-naz saja le

    KHub maze duniya ke uDa le hain abhi ye ayyam munasib

    baat bhi un se ki na kisi ne aarzu dil ki rah gai dil mein

    ghar mein hi baiThi rah gai laDki aaya na ek paigham munasib

    shaiKH o barhaman se koi kah de ruKH na karen bhule se udhar ka

    ye hai mai-KHana nahin is mein daKHila-e-ayyam munasib

    jaur-o-sitam Dhane mein jo paiham aaya hai un ke ruKH pe pasina

    hai mere armanon ke nahane ke liye ye hammam munasib

    baat koi izhaar-e-haqiqat mein bhi uTha rakhna nahin zalim

    'shauq' kabhi ash'ar mein jaise hota nahin ilham munasib

    Source:

    intekhab-e-kalam shauq bahraichi (Pg. 53)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now