aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shamshir hai sinan hai kise dun kise na dun

Ameer Minai

shamshir hai sinan hai kise dun kise na dun

Ameer Minai

MORE BYAmeer Minai

    shamshīr hai sināñ hai kise duuñ kise na duuñ

    ik jān-e-nā-tavāñ hai kise duuñ kise na duuñ

    mehmān idhar humā hai udhar hai sag-e-habīb

    ik musht ustuḳhāñ hai kise duuñ kise na duuñ

    darbāñ hazār us ke yahāñ ek naqd-e-jāñ

    maal is qadar kahāñ hai kise duuñ kise na duuñ

    bulbul ko bhī hai phūloñ gulchīñ ko bhī talab

    hairān bāġhbāñ hai kise duuñ kise na duuñ

    sab chāhte haiñ us se jo va.ada visāl

    kahtā hai vo zabāñ hai kise duuñ kise na duuñ

    shahzādī duḳht-e-raz ke hazāroñ haiñ ḳhvāst-gār

    chup murshid-e-muġhāñ hai kise duuñ kise na duuñ

    yāroñ ko bhī hai bose ġhairoñ ko bhī talab

    shashdar vo jān-e-jāñ hai kise duuñ kise na duuñ

    dil mujh se māñgte haiñ hazāroñ hasīñ 'amīr'

    kitnā ye armuġhāñ hai kise duuñ kise na duuñ

    shamshir hai sinan hai kise dun kise na dun

    ek jaan-e-na-tawan hai kise dun kise na dun

    mehman idhar huma hai udhar hai sag-e-habib

    ek musht ustuKHan hai kise dun kise na dun

    darban hazar us ke yahan ek naqd-e-jaan

    mal is qadar kahan hai kise dun kise na dun

    bulbul ko bhi hai phulon ki gulchin ko bhi talab

    hairan baghban hai kise dun kise na dun

    sab chahte hain us se jo wada visal ka

    kahta hai wo zaban hai kise dun kise na dun

    shahzadi duKHt-e-raz ke hazaron hain KHwast-gar

    chup murshid-e-mughan hai kise dun kise na dun

    yaron ko bhi hai bose ki ghairon ko bhi talab

    shashdar wo jaan-e-jaan hai kise dun kise na dun

    dil mujh se mangte hain hazaron hasin 'amir'

    kitna ye armughan hai kise dun kise na dun

    Source:

    Deewan-e-Ameer (Pg. 183)

    • Author: Ameer Minai
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1922
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now