Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharab-e-arghawan ko shaiKH pahle to bura samjhe

Bulbul Kashmiri

sharab-e-arghawan ko shaiKH pahle to bura samjhe

Bulbul Kashmiri

MORE BYBulbul Kashmiri

    sharāb-e-arġhavāñ ko shaiḳh pahle to burā samjhe

    magar phir rafta rafta sehat-afzā shorbā samjhe

    nazar-bāzoñ ko bhī dhoka huā fashion ke chhal-bal se

    vo aksar achchhī ḳhāsī chhokrī ko chhokarā samjhe

    ilāj-e-dard-e-dil merā kare vo chārāgar kaise

    jo dil gurde ko samjhe aur jigar ko phephḌā samjhe

    hazāroñ saal se police taftīsh jaarī hai

    hasīnoñ kamar ko vo hamesha lāpata samjhe

    huā kashmīr aur punjab meñ ab tak na samjhautā

    idhar ye kāñgḌī māñge udhar vo kāñgḌā samjhe

    zabān-e-yār-e-man turkī va man turkī namī dānam

    maza kahne jab hai ik kahe aur dūsrā samjhe

    tire āshiq tire kūche ko terī sard-mehrī se

    kabhī kashmīr samjhe to kabhī colombia samjhe

    na bāñdho gol chakkar apne sar par zulf-e-pechāñ

    kahīñ aisā na ho 'bulbul' usī ko ghoñsla samjhe

    sharab-e-arghawan ko shaiKH pahle to bura samjhe

    magar phir rafta rafta sehat-afza shorba samjhe

    nazar-bazon ko bhi dhoka hua fashion ke chhal-bal se

    wo aksar achchhi KHasi chhokri ko chhokara samjhe

    ilaj-e-dard-e-dil mera kare wo chaaragar kaise

    jo dil gurde ko samjhe aur jigar ko phephDa samjhe

    hazaron sal se police ki taftish jari hai

    hasinon ki kamar ko wo hamesha lapata samjhe

    hua kashmir aur punjab mein ab tak na samjhauta

    idhar ye kangDi mange udhar wo kangDa samjhe

    zaban-e-yar-e-man turki wa man turki nami danam

    maza kahne ka jab hai ek kahe aur dusra samjhe

    tere aashiq tere kuche ko teri sard-mehri se

    kabhi kashmir samjhe to kabhi colombia samjhe

    na bandho gol chakkar apne sar par zulf-e-pechan ka

    kahin aisa na ho 'bulbul' usi ko ghonsla samjhe

    Source:

    Khanda-e-Gul (Pg. 128)

    • Author: Bulbul Kashmiri
      • Publisher: Idara-e-Frogh-e-Urdu, Lahore
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now