Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sharik-e-gham mera saya nahin tha

Akhtar Saeedi

sharik-e-gham mera saya nahin tha

Akhtar Saeedi

MORE BYAkhtar Saeedi

    sharīk-e-ġham mirā saaya nahīñ thā

    vagarna dastaras meñ kyā nahīñ thā

    sar-e-sahrā-e-ġham tishna-labī thī

    lab-e-dariyā koī pyāsā nahīñ thā

    ujāle duur tak phaile hue the

    pas-e-parda koī chehra nahīñ thā

    vo chehre tamāzat kho chuke the

    ġhubār-ālūda ā.īna nahīñ thā

    mire ḳhvāboñ meñ kaise Dhal gayā hai

    jise maiñ ne kabhī sochā nahīñ thā

    mujhe bhī bad-gumānī ho ga.ī thī

    tirā lahja bhī shā.ista nahīñ thā

    añdhere meñ nishāñ gum ho ga.e the

    musāfir rāsta bhūlā nahīñ thā

    sharik-e-gham mera saya nahin tha

    wagarna dastaras mein kya nahin tha

    sar-e-sahra-e-gham tishna-labi thi

    lab-e-dariya koi pyasa nahin tha

    ujale dur tak phaile hue the

    pas-e-parda koi chehra nahin tha

    wo chehre hi tamazat kho chuke the

    ghubar-aluda aaina nahin tha

    mere KHwabon mein kaise Dhal gaya hai

    jise main ne kabhi socha nahin tha

    mujhe bhi bad-gumani ho gai thi

    tera lahja bhi shaista nahin tha

    andhere mein nishan gum ho gae the

    musafir rasta bhula nahin tha

    Source:

    Charagh Jalne Tak (Pg. 148)

    • Author: Akhtar Saeedi
      • Publisher: Nadeem Publications, Karachi
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now