Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shishe se ziyaada nazuk tha ye shisha-e-dil jo TuT gaya

Danish Farahi

shishe se ziyaada nazuk tha ye shisha-e-dil jo TuT gaya

Danish Farahi

MORE BYDanish Farahi

    shīshe se ziyāda nāzuk thā ye shīsha-e-dil jo TuuT gayā

    mat pūchho ki mujh par kyā guzrī jab haath se sāġhar chhūT gayā

    tārīki-e-mahfil shikva tum karte ho ai dīvāno kyuuñ

    ḳhud sham.a bujhā hai tum ne ḳhud-baḳht tumhārā phuuT gayā

    saaqī nazar uThtī nahīñ kyuuñ bāda-o-sāġhar jānib

    sarmāya-e-mai-ḳhānā aa kar kyā koī luTerā luuT gayā

    mahrūmī-e-qismat aalam kyā pūchh rahe ho tum mujh se

    manzil to abhī hai duur bahut aur ik ik sāthī chhūT gayā

    uThtā hai 'dānish' dil se dhuāñ āñkhoñ se Tapakte haiñ aañsū

    kyā ātish-e-ġham dene lagī lau kyā dil phaphūlā phuuT gayā

    shishe se ziyaada nazuk tha ye shisha-e-dil jo TuT gaya

    mat puchho ki mujh par kya guzri jab hath se saghar chhuT gaya

    tariki-e-mahfil ka shikwa tum karte ho ai diwano kyun

    KHud shama bujha di hai tum ne KHud-baKHt tumhaara phuT gaya

    saqi ki nazar uThti hi nahin kyun baada-o-saghar ki jaanib

    sarmaya-e-mai-KHana aa kar kya koi luTera luT gaya

    mahrumi-e-qismat ka aalam kya puchh rahe ho tum mujh se

    manzil to abhi hai dur bahut aur ek ek sathi chhuT gaya

    uThta hai 'danish' dil se dhuan aankhon se Tapakte hain aansu

    kya aatish-e-gham dene lagi lau kya dil ka phaphula phuT gaya

    Source:

    Danish Kada (Pg. 34)

    • Author: Danish Farahi
      • Edition: 2015
      • Publisher: Riyaz Ahmed Farahi, Ramleela Maidan, Saraimeer Azamgarh
      • Year of Publication: 2015
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now