Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikasta chhoD kar ye dil hamara

Munshi Khairati Laal Shagufta

shikasta chhoD kar ye dil hamara

Munshi Khairati Laal Shagufta

MORE BYMunshi Khairati Laal Shagufta

    shikasta chhoḌ kar ye dil hamārā

    kidhar jaatā rahā qātil hamārā

    nahīñ hai aap se inkār ham ko

    pasand aa.e to le lo dil hamārā

    jo chāhe karo hāzir haiñ sab meñ

    tumhāre haath meñ hai dil hamārā

    na.ī haT hai vo kahte haiñ bigaḌ kar

    tirī āġhosh meñ hai dil hamārā

    zarā dekho to aakar ro rahā hai

    hamārī bekasī par dil hamārā

    na siina meñ na pahlū meñ na bar meñ

    ilāhī kis taraf hai dil hamārā

    kisī pahlū nahīñ ārām detā

    balā-e-jāñ huā hai dil hamārā

    vo kyūñkar vasl meñ rāhat na dete

    musībat āshnā thā dil hamārā

    zarā dekho bhī dikhlā do ruḳh apnā

    tarastā diid ko hai dil hamārā

    nahīñ ummīd āsānī tum ko

    huā mushkil dam-e-mushkil hamārā

    tumhāre lutf se hotā hai āsāñ

    nahīñ uqda hai kuchh mushkil hamārā

    kisī gul-pairahan aarzū se

    shagufta hai 'shagufta' dil hamārā

    shikasta chhoD kar ye dil hamara

    kidhar jata raha qatil hamara

    nahin hai aap se inkar hum ko

    pasand aae to le lo dil hamara

    jo ji chahe karo hazir hain sab mein

    tumhaare hath mein hai dil hamara

    nai haT hai wo kahte hain bigaD kar

    teri aaghosh mein hai dil hamara

    zara dekho to aakar ro raha hai

    hamari bekasi par dil hamara

    na sina mein na pahlu mein na bar mein

    ilahi kis taraf hai dil hamara

    kisi pahlu nahin aaram deta

    bala-e-jaan hua hai dil hamara

    wo kyunkar wasl mein rahat na dete

    musibat aashna tha dil hamara

    zara dekho bhi dikhla do ruKH apna

    tarasta did ko hai dil hamara

    nahin ummid aasani ki tum ko

    hua mushkil dam-e-mushkil hamara

    tumhaare lutf se hota hai aasan

    nahin uqda hai kuchh mushkil hamara

    kisi gul-pairahan ki aarzu se

    shagufta hai 'shagufta' dil hamara

    Source:

    (Pg. 23)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now