shikasta-pa hi chalenge shikasta-pa ki taraf
shikasta-pā hī chaleñge shikasta-pā kī taraf
so ham palaTne lage haiñ tirī sadā kī taraf
jinheñ sañvarnā ho sab us ke saath ho jaa.eñ
bhaTakne vaale chaleñ mere naqsh-e-pā kī taraf
ḳhamoshī khīñch ke laa.ī mujhe vujūd talak
vujūd khīñch ke laayā hai mujh ko lā kī taraf
maiñ chīḳhtā rahā tanhā savāl kartā rahā
hazār log khaḌe the magar ḳhudā kī taraf
vo apnī rau meñ magan hai ham apne dhyān meñ gum
havā hamārī taraf hai na ham havā kī taraf
vo mujh ko paar lagāne kī zid pe aTkā hai
aur hañs ke dekh rahā huuñ maiñ nā-ḳhudā kī taraf
maiñ jangaloñ kī taraf se sadā lagātā thā
ḳhizāñ kī rut meñ bahāroñ ke devtā kī taraf
shikasta-pa hi chalenge shikasta-pa ki taraf
so hum palaTne lage hain teri sada ki taraf
jinhen sanwarna ho sab us ke sath ho jaen
bhaTakne wale chalen mere naqsh-e-pa ki taraf
KHamoshi khinch ke lai mujhe wujud talak
wujud khinch ke laya hai mujh ko la ki taraf
main chiKHta raha tanha sawal karta raha
hazar log khaDe the magar KHuda ki taraf
wo apni rau mein magan hai hum apne dhyan mein gum
hawa hamari taraf hai na hum hawa ki taraf
wo mujh ko par lagane ki zid pe aTka hai
aur hans ke dekh raha hun main na-KHuda ki taraf
main jangalon ki taraf se sada lagata tha
KHizan ki rut mein bahaaron ke dewta ki taraf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.