Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin

Ali Jawwad Zaidi

shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin

Ali Jawwad Zaidi

MORE BYAli Jawwad Zaidi

    shikve ham apnī zabāñ par kabhī laa.e to nahīñ

    haañ magar ashk jab umDe the chhupā.e to nahīñ

    terī mahfil ke bhī ādāb ki dil Dartā hai

    merī āñkhoñ ne durr-e-ashk luTā.e to nahīñ

    chhān ḳhaak bayābānoñ vīrānoñ

    phir bhī andāz-e-junūñ aql ne paa.e to nahīñ

    laakh pur-vahshat o pur-haul sahī shām-e-firāq

    ham ne ghabrā ke diye din se jalā.e to nahīñ

    ab to is baat pe bhī sulh kar hai ki vo

    na bulā.e na sahī dil se bhulā.e to nahīñ

    hijr raat ye har Dūbte taare ne kahā

    ham na kahte the na ā.eñge vo aa.e to nahīñ

    inqilāb aate haiñ rahte haiñ jahāñ meñ lekin

    jo banāne na ho ahl miTā.e to nahīñ

    apnī is shoḳhi-e-raftār anjām na soch

    fitne ḳhud uThne lage ne uThā.e to nahīñ

    shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin

    han magar ashk jab umDe the chhupae to nahin

    teri mahfil ke bhi aadab ki dil Darta hai

    meri aankhon ne durr-e-ashk luTae to nahin

    chhan li KHak bayabanon ki viranon ki

    phir bhi andaz-e-junun aql ne pae to nahin

    lakh pur-wahshat o pur-haul sahi sham-e-firaq

    hum ne ghabra ke diye din se jalae to nahin

    ab to is baat pe bhi sulh si kar li hai ki wo

    na bulae na sahi dil se bhulae to nahin

    hijr ki raat ye har Dubte tare ne kaha

    hum na kahte the na aaenge wo aae to nahin

    inqilab aate hain rahte hain jahan mein lekin

    jo banane ka na ho ahl miTae to nahin

    apni is shoKHi-e-raftar ka anjam na soch

    fitne KHud uThne lage tu ne uThae to nahin

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    shikwe hum apni zaban par kabhi lae to nahin Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now