aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shitabi apne diwane ko kar band

Mirza Azfari

shitabi apne diwane ko kar band

Mirza Azfari

MORE BYMirza Azfari

    shitābī apne dīvāne ko kar band

    musalsal zulf se kar nazar-band

    tirā shaidā na Thahrā jaañ ik dam

    gayā le coat meñ lohe ke kar band

    jo tujh par aur ko tarjīh de dekh

    bas us andhe āñkheñ haiñ magar band

    taḌaptā be-qarārī āh-o-zārī

    huiiñ ye hālateñ kyūñkar satar-band

    hai sho.ala aag har aah ke saath

    ye dil hai hai siine meñ sharar band

    piyāre Dar ḳhudā se apnī āñkheñ

    hamārī tarf se itnī na kar band

    tujhe ḳhurshīd-rū, bhar ke dekhūñ

    huī jaatī hai merī aañkh par band

    azīzo misr-e-dil raah hai duur

    rah-e-zulmāt meñ haigā ye dar band

    jo chāhe do jahāñ kaam legā

    hai bāñdhā jis ne himmat qamar-bañd

    raho Tuk 'azfarī' ab chashm khole

    raheñgī aañkh phir shām-o-sahar band

    shitabi apne diwane ko kar band

    musalsal zulf se kar ya nazar-band

    tera shaida na Thahra jaan sa ek dam

    gaya le coat mein lohe ke kar band

    jo tujh par aur ko tarjih de dekh

    bas us andhe ki aankhen hain magar band

    taDapta be-qarari aah-o-zari

    huin ye haalaten kyunkar satar-band

    hai shoala aag ka har aah ke sath

    ye dil hai ya hai sine mein sharar band

    piyare Dar KHuda se apni aankhen

    hamari tarf se itni na kar band

    tujhe KHurshid-ru, ji bhar ke dekhun

    hui jati hai meri aankh par band

    azizo misr-e-dil ki rah hai dur

    rah-e-zulmat mein haiga ye dar band

    jo chahe do jahan ka kaam lega

    hai bandha jis ne himmat ka qamar-band

    raho Tuk 'azfari' ab chashm khole

    rahengi aankh phir sham-o-sahar band

    Source:

    Deewan-e-Azfari (Pg. ebook-22 page-13)

    • Author: Mirza Azfari
      • Edition: 1939
      • Publisher: University of Madras
      • Year of Publication: 1939
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now