Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

shoale bhaDkao dekhte kya ho

Akhtar Ansari

shoale bhaDkao dekhte kya ho

Akhtar Ansari

MORE BYAkhtar Ansari

    sho.ale bhaḌkāo dekhte kyā ho

    jal uThe ghaav dekhte kyā ho

    ġharq-e-ḳhūnāb hone vaalī hai

    dard naav dekhte kyā ho

    dil kisī yaad ne chhuā hogā

    aage baḌh jaao dekhte kyā ho

    anjum-e-charḳh-e-fikr-e-ādam

    chal gayā daav dekhte kyā ho

    piye baiThe haiñ zahr-e-daurāñ ham

    jaam uThvāo dekhte kyā ho

    husn se lo nazar bhiik 'aḳhtar'

    haath phailāo dekhte kyā ho

    shoale bhaDkao dekhte kya ho

    jal uThe ghaw dekhte kya ho

    gharq-e-KHunab hone wali hai

    dard ki naw dekhte kya ho

    dil kisi yaad ne chhua hoga

    aage baDh jao dekhte kya ho

    anjum-e-charKH-e-fikr-e-adam ka

    chal gaya daw dekhte kya ho

    piye baiThe hain zahr-e-dauran hum

    jam uThwao dekhte kya ho

    husn se lo nazar ki bhik 'aKHtar'

    hath phailao dekhte kya ho

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 105)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now