Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sina-o-dil hasraton se chha gaya

Khwaja Meer Dard

sina-o-dil hasraton se chha gaya

Khwaja Meer Dard

MORE BYKhwaja Meer Dard

    sīna-o-dil hasratoñ se chhā gayā

    bas hujūm-e-yās ghabrā gayā

    tujh se kuchh dekhā na ham ne juz jafā

    par vo kyā kuchh hai ki ko bhā gayā

    khul nahīñ saktī haiñ ab āñkheñ mirī

    meñ ye kis tasavvur aa gayā

    maiñ to kuchh zāhir na thī baat

    par mirī nazroñ ke Dhab se gayā

    ga.ī kitnoñ lohū terī yaad

    ġham tirā kitne kaleje khā gayā

    miT ga.ī thī us ke se to jhichak

    'dard' kuchh kuchh bak ke chauñkā gayā

    sina-o-dil hasraton se chha gaya

    bas hujum-e-yas ji ghabra gaya

    tujh se kuchh dekha na hum ne juz jafa

    par wo kya kuchh hai ki ji ko bha gaya

    khul nahin sakti hain ab aankhen meri

    ji mein ye kis ka tasawwur aa gaya

    main to kuchh zahir na ki thi ji ki baat

    par meri nazron ke Dhab se pa gaya

    pi gai kitnon ka lohu teri yaad

    gham tera kitne kaleje kha gaya

    miT gai thi us ke ji se to jhichak

    'dard' kuchh kuchh bak ke tu chaunka gaya

    Source:

    Deewan-e-Dard (Pg. 25)

    • Author: Khwaja Meer Dard
      • Edition: 1989
      • Publisher: Maktaba Jamia Limited, New Delhi
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now