Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sine ka ab tak hai zaKHm aala miyan

Mirza Azfari

sine ka ab tak hai zaKHm aala miyan

Mirza Azfari

MORE BYMirza Azfari

    siine ab tak hai zaḳhm aalā miyāñ

    hai anī mizhgāñ bhālā miyāñ

    kis zamāne ye dushman thī mirī

    is mohabbat ho muñh kaalā miyāñ

    ishq meñ tere luTe sab durr-e-ashk

    aisī var-ḳharchī ne ghar ghālā miyāñ

    jo bisāt apnī meñ thā hosh-o-ḳhirad

    jhokā jholī meñ tire laalā miyāñ

    ishq ke zevar ko aañsū mat kaho

    motiyoñ hai ye gul-mālā miyāñ

    khol paT ghuñghaT dikhlāyā jamāl

    mere taale khulā taalā miyāñ

    sarv-e-bālā ko tire to dekh kar

    ho ga.ī duniyā tah-o-bālā miyāñ

    nekī merī aur badī apnī ko jaan

    sab badī ko apnī to Dhālā miyāñ

    Tālā, baalā 'azfarī' ko de ga.e

    kaan apne dikhā baalā miyāñ

    sine ka ab tak hai zaKHm aala miyan

    hai ani mizhgan ki ya bhaala miyan

    kis zamane ki ye dushman thi meri

    is mohabbat ka ho munh kala miyan

    ishq mein tere luTe sab durr-e-ashk

    aisi war-KHarchi ne ghar ghaala miyan

    jo bisat apni mein tha hosh-o-KHirad

    jhoka jholi mein tere lala miyan

    ishq ke zewar ko aansu mat kaho

    motiyon ki hai ye gul-mala miyan

    khol paT ghunghaT ka dikhlaya jamal

    mere tale ka khula tala miyan

    sarw-e-baala ko tere to dekh kar

    ho gai duniya tah-o-baala miyan

    neki meri aur badi apni ko jaan

    sab badi ko apni to Dhaala miyan

    Tala, baala 'azfari' ko de gae

    kan ka apne dikha baala miyan

    Source:

    Deewan-e-Azfari (Pg. ebook-29 page-20)

    • Author: Mirza Azfari
      • Edition: 1939
      • Publisher: University of Madras
      • Year of Publication: 1939
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now