Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sipurd-e-ah na karte to aur kya karte

Moazzam Ali Khan

sipurd-e-ah na karte to aur kya karte

Moazzam Ali Khan

MORE BYMoazzam Ali Khan

    sipurd-e-āh na karte to aur kyā karte

    ye dil tabāh na karte to aur kyā karte

    ġhamoñ se shaġhl-e-rifāqat to ḳhair mushkil thā

    magar nibāh na karte to aur kyā karte

    tilism-e-jannat-e-ādam thā raat manzar

    jo ham gunāh na karte to aur kyā karte

    ham apne qalb-e-munavvar ko ai shab-e-ehsās

    charāġh-e-rāh na karte to aur kyā karte

    ma.āl-e-husn-e-nazar par nazar na thī jin

    guloñ chaah na karte to aur kyā karte

    shab-e-firāq meñ ham qismat-e-ġhazal terā

    varaq syaah na karte to aur kyā karte

    sharīk-e-bazm 'muazzam' the ham-navā tere

    jo vaah vaah na karte to aur kyā karte

    sipurd-e-ah na karte to aur kya karte

    ye dil tabah na karte to aur kya karte

    ghamon se shaghl-e-rifaqat to KHair mushkil tha

    magar nibah na karte to aur kya karte

    tilism-e-jannat-e-adam tha raat ka manzar

    jo hum gunah na karte to aur kya karte

    hum apne qalb-e-munawwar ko ai shab-e-ehsas

    charagh-e-rah na karte to aur kya karte

    maal-e-husn-e-nazar par nazar na thi jin ki

    gulon ki chah na karte to aur kya karte

    shab-e-firaq mein hum qismat-e-ghazal tera

    waraq syah na karte to aur kya karte

    sharik-e-bazm 'muazzam' the ham-nawa tere

    jo wah wah na karte to aur kya karte

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now