Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitare jab kisi mahtab ka qissa sunate hain

Qaisar Siddiqi

sitare jab kisi mahtab ka qissa sunate hain

Qaisar Siddiqi

MORE BYQaisar Siddiqi

    sitāre jab kisī mahtāb qissa sunāte haiñ

    mire ḳhvāboñ ke āñgan meñ ujāle muskurāte haiñ

    haqīqat sāmne laane se jab dāman bachāte haiñ

    to gir kar aa.ine hāthoñ se ḳhud TuuT jaate haiñ

    hameñ to muskurāne ke sivā kuchh bhī nahīñ aatā

    hujūm-e-ġham meñ bhī ham log yuuñ muskurāte haiñ

    chalo ai bāda-ḳhvāro chal ke un ḳhairiyat pūchheñ

    sunā hai shaiḳh sāhab mai-kade meñ paa.e jaate haiñ

    mohabbat meñ nadāmat ke sivā kuchh bhī nahīñ paayā

    magar phir bhī mohabbat se kahāñ ham baaz aate haiñ

    tum rūThe hue ho jab hamāre dil duniyā se

    chalo phir ham bhī apnī zindagī se ruuTh jaate haiñ

    yahī hai farq zāhid aur āshiq ibādat meñ

    ye apnā sar jhukātā hai vo apnā dil jhukāte haiñ

    mirī ummīd aksar chāhtī hai surḳh-rū honā

    magar hālāt aksar mujh ko ā.īna dikhāte haiñ

    sitare jab kisi mahtab ka qissa sunate hain

    mere KHwabon ke aangan mein ujale muskuraate hain

    haqiqat samne lane se jab daman bachate hain

    to gir kar aaine hathon se KHud hi TuT jate hain

    hamein to muskurane ke siwa kuchh bhi nahin aata

    hujum-e-gham mein bhi hum log yun hi muskuraate hain

    chalo ai baada-KHwaro chal ke un ki KHairiyat puchhen

    suna hai shaiKH sahab mai-kade mein pae jate hain

    mohabbat mein nadamat ke siwa kuchh bhi nahin paya

    magar phir bhi mohabbat se kahan hum baz aate hain

    tum hi ruThe hue ho jab hamare dil ki duniya se

    chalo phir hum bhi apni zindagi se ruTh jate hain

    yahi hai farq zahid aur aashiq ki ibaadat mein

    ye apna sar jhukata hai wo apna dil jhukate hain

    meri ummid aksar chahti hai surKH-ru hona

    magar haalat aksar mujh ko aaina dikhate hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now