Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sitamgaron ki itaat qubul karta hai

riaz hanfi

sitamgaron ki itaat qubul karta hai

riaz hanfi

MORE BYriaz hanfi

    sitamgaroñ itā.at qubūl kartā hai

    jadīd daur insāñ bhī bhuul kartā hai

    tamām a.azā haiñ gumrāh ummatoñ tarah

    bas ek dil hai jo kār-e-rasūl kartā hai

    baḌī aziim duā se navāz kar saa.il

    bahut haqīr qīmat vasūl kartā hai

    kahāñ mahakte the pahle mire dar-o-dīvār

    ye kaam us mohabbat phuul kartā hai

    fasāna chheḌ ke guzre hue zamāne

    vo apne saath mujhe bhī malūl kartā hai

    hamāre bas meñ nahīñ hai mohabbatoñ nizām

    vo ham se harf-e-shikāyat fuzūl kartā hai

    mujhe to raqs bhī karne fan nahīñ aatā

    zamāna kis liye merī nuqūl kartā hai

    bichhaḌ gayā hai koī to koī milegā bhī

    'riyāz' kis liye ḳhud ko malūl kartā hai

    sitamgaron ki itaat qubul karta hai

    jadid daur ka insan bhi bhul karta hai

    tamam aaza hain gumrah ummaton ki tarah

    bas ek dil hai jo kar-e-rasul karta hai

    baDi azim dua se nawaz kar sail

    bahut haqir si qimat wasul karta hai

    kahan mahakte the pahle mere dar-o-diwar

    ye kaam us ki mohabbat ka phul karta hai

    fasana chheD ke guzre hue zamane ka

    wo apne sath mujhe bhi malul karta hai

    hamare bas mein nahin hai mohabbaton ka nizam

    wo hum se harf-e-shikayat fuzul karta hai

    mujhe to raqs bhi karne ka fan nahin aata

    zamana kis liye meri nuqul karta hai

    bichhaD gaya hai koi to koi milega bhi

    'riyaz' kis liye KHud ko malul karta hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now