Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

junun tohmat-kash-e-taskin na ho gar shadmani ki

Mirza Ghalib

junun tohmat-kash-e-taskin na ho gar shadmani ki

Mirza Ghalib

MORE BYMirza Ghalib

    junūñ tohmat-kash-e-taskīñ na ho gar shādmānī

    namak-pāsh-e-ḳharāsh-e-dil hai lazzat zindagānī

    kashākash-hā-e-hastī se kare kyā sa.i-e-āzādī

    hui zanjīr-e-mauj-e-āb ko fursat ravānī

    pas-az-murdan bhī dīvāna ziyārat-gāh-e-tiflāñ hai

    sharār-e-sañg ne turbat pe merī gul-fishānī

    na khīñch ai sa.ī-e-dast-e-nā-rasā zulf-e-tamannā ko

    pareshāñ-tar hai mū-e-ḳhāma se tadbīr maanī

    kahāñ ham bhī rag-o-pai rakhte haiñ insāf bahattar hai

    na khīñche tāqat-e-ḳhamyāza tohmat nā-tavānī

    takalluf-bartaraf farhād aur itnī subukdastī

    ḳhayāl āsāñ thā lekin ḳhvāb-e-ḳhusrav ne girānī

    'asad' ko boriye meñ dhar ke phūñkā mauj-e-hastī ne

    faqīrī meñ bhī baaqī hai sharārat naujavānī

    junun tohmat-kash-e-taskin na ho gar shadmani ki

    namak-pash-e-KHarash-e-dil hai lazzat zindagani ki

    kashakash-ha-e-hasti se kare kya sai-e-azadi

    hui zanjir-e-mauj-e-ab ko fursat rawani ki

    pas-az-murdan bhi diwana ziyarat-gah-e-tiflan hai

    sharar-e-sang ne turbat pe meri gul-fishani ki

    na khinch ai sai-e-dast-e-na-rasa zulf-e-tamanna ko

    pareshan-tar hai mu-e-KHama se tadbir mani ki

    kahan hum bhi rag-o-pai rakhte hain insaf bahattar hai

    na khinche taqat-e-KHamyaza tohmat na-tawani ki

    takalluf-bartaraf farhad aur itni subukdasti

    KHayal aasan tha lekin KHwab-e-KHusraw ne girani ki

    'asad' ko boriye mein dhar ke phunka mauj-e-hasti ne

    faqiri mein bhi baqi hai shararat naujawani ki

    Source:

    Deewan-e-Ghalib Jadeed (Pg. 315)

    • Author: Mirza Ghalib
      • Publisher: Madhya Pradesh Urdu Academy, Bhopal
      • Year of Publication: 1982
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now