Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sochta hai kis liye tu mere yar de mujhe

Shahid Kamal

sochta hai kis liye tu mere yar de mujhe

Shahid Kamal

MORE BYShahid Kamal

    sochtā hai kis liye mere yaar de mujhe

    thak chukā huuñ nafratoñ se thoḌā pyaar de mujhe

    kaun huuñ mujhe to apnā naam bhī patā nahīñ

    koī merā naam le ke phir pukār de mujhe

    in ḳhirad hīla-sāziyoñ se amaan de

    daftar-e-junūñ meñ koī kārobār de mujhe

    aaj apne muqāble pe DaT gayā huuñ maiñ

    teġh koī bhej koī rāhvār de mujhe

    is anā jañg meñ fat.h-yāb kar mujhe

    ye sharaf bhī aaj mere shahsavār de mujhe

    kuchh ḳhabar to de mire musāfiroñ a sabā

    kuchh nishān-e-kūcha-hā-e-be-dayār de mujhe

    TuuT kar bikhartā rahā huuñ is tarah se maiñ

    kaash koī haath baḌh ke phir sañvār de mujhe

    'shāhid'-e-navā-e-asr ke suḳhan qadr kar

    lahja-e-sukūt harf-e-e'tibār de mujhe

    sochta hai kis liye tu mere yar de mujhe

    thak chuka hun nafraton se thoDa pyar de mujhe

    kaun hun mujhe to apna nam bhi pata nahin

    koi mera nam le ke phir pukar de mujhe

    in KHirad ki hila-saziyon se tu aman de

    daftar-e-junun mein koi karobar de mujhe

    aaj apne hi muqable pe DaT gaya hun main

    tegh koi bhej koi rahwar de mujhe

    is ana ki jang mein tu fath-yab kar mujhe

    ye sharaf bhi aaj mere shahsawar de mujhe

    kuchh KHabar to de mere musafiron ki a saba

    kuchh nishan-e-kucha-ha-e-be-dayar de mujhe

    TuT kar bikharta ja raha hun is tarah se main

    kash koi hath baDh ke phir sanwar de mujhe

    'shahid'-e-nawa-e-asr ke suKHan ki qadr kar

    lahja-e-sukut harf-e-e'tibar de mujhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now