Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subh KHud bataegi tirgi kahan jae

Jameel Mazhari

subh KHud bataegi tirgi kahan jae

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    sub.h ḳhud batā.egī tīrgī kahāñ jaa.e

    ye charāġh jhūTī raushnī kahāñ jaa.e

    jo nasheb aa.egā rāsta dikhā.egā

    moḌ ḳhud batā.egā aadmī kahāñ jaa.e

    baḌh ke do qadam us piiTh halkī kar

    ye thakā musāfir ai rahzanī kahāñ jaa.e

    hā-o-hū duniyā meñ mā-o-tū duniyā meñ

    rañg o duniyā meñ sādgī kahāñ jaa.e

    be-ta.alluqī maslak ho chukā hai duniyā

    dostī kahāñ jaa.e dushmanī kahāñ jaa.e

    ab to dhuup aa pahuñchī jhāḌiyoñ ke andar bhī

    ab panāh lene ko tīrgī kahāñ jaa.e

    kārvāñ ne chūlhoñ meñ jhoñk ghanī shāḳheñ

    ab kahīñ nahīñ saaya ḳhastagī kahāñ jaa.e

    zaḳhm-e-dil to kyā doge dāġh-e-sajda de do

    ab tumhārī chaukhaT se 'maz.harī' kahāñ jaa.e

    subh KHud bataegi tirgi kahan jae

    ye charagh ki jhuTi raushni kahan jae

    jo nasheb aaega rasta dikhaega

    moD KHud bataega aadmi kahan jae

    baDh ke do qadam tu hi us ki piTh halki kar

    ye thaka musafir ai rahzani kahan jae

    ha-o-hu ki duniya mein ma-o-tu ki duniya mein

    rang o bu ki duniya mein sadgi kahan jae

    be-talluqi maslak ho chuka hai duniya ka

    dosti kahan jae dushmani kahan jae

    ab to dhup aa pahunchi jhaDiyon ke andar bhi

    ab panah lene ko tirgi kahan jae

    karwan ne chulhon mein jhonk di ghani shaKHen

    ab kahin nahin saya KHastagi kahan jae

    zaKHm-e-dil to kya doge dagh-e-sajda hi de do

    ab tumhaari chaukhaT se 'mazhari' kahan jae

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    subh KHud bataegi tirgi kahan jae Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now