aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

subut-e-ishtiyaq-e-ham-rahi lao to aao

Jaleel 'Aali'

subut-e-ishtiyaq-e-ham-rahi lao to aao

Jaleel 'Aali'

MORE BYJaleel 'Aali'

    subūt-e-ishtiyāq-e-ham-rahī laao to aao

    hisār-e-zāt se bāhar nikal paao to aao

    zamānoñ se faqat lahreñ gumānoñ gino ho

    kisī din tum ye dariyā paar kar jaao to aao

    had-e-ḳhvāhish meñ jiinā hai to jaao raah apnī

    na dasht-e-shauq vus.at se ghabrāo to aao

    ajab be-iḳhtiyārāna thī har aamad tumhārī

    isī mauj-e-mohabbat meñ kabhī aao to aao

    ye durveshoñ duniyā hai karishme is ke dekho

    jahāñ se nahīñ ḳhud se bhī uktāo to aao

    rifāqat ahl-e-ġham ik nashāt-e-muḳhtalif hai

    jo rakhte ho jigar meñ dard ghaao to aao

    hameñ is hikmat-e-daurāñ ik nukta bahut hai

    agar dhun hai ulaT deñ vaqt ke daao to aao

    subut-e-ishtiyaq-e-ham-rahi lao to aao

    hisar-e-zat se bahar nikal pao to aao

    zamanon se faqat lahren gumanon ki gino ho

    kisi din tum ye dariya par kar jao to aao

    had-e-KHwahish mein jina hai to jao rah apni

    na dasht-e-shauq ki wusat se ghabrao to aao

    ajab be-iKHtiyarana thi har aamad tumhaari

    isi mauj-e-mohabbat mein kabhi aao to aao

    ye durweshon ki duniya hai karishme is ke dekho

    jahan se hi nahin KHud se bhi uktao to aao

    rifaqat ahl-e-gham ki ek nashat-e-muKHtalif hai

    jo rakhte ho jigar mein dard ka ghao to aao

    hamein is hikmat-e-dauran ka ek nukta bahut hai

    agar dhun hai ulaT den waqt ke dao to aao

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now