aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukun-e-dil gaya nazron se sab qatare gae

Azeem Haider Syed

sukun-e-dil gaya nazron se sab qatare gae

Azeem Haider Syed

MORE BYAzeem Haider Syed

    Interesting Fact

    The poem is penned in the context of Peshawar army school massacre on 16 Dec 2014, in which hundreds of innocent children were brutally murdered.

    sukūn-e-dil gayā nazroñ se sab qatāre ga.e

    chaman meñ khilte hue jab se phuul maare ga.e

    havā-e-maut zarā der kyā idhar aa.ī

    ki mere haath se uḌ kar mire ġhubāre ga.e

    ye kaisī karbalā barpā huī peshawar meñ

    lahū meñ Duube hue mere bachche maare ga.e

    unheñ martaba miltā hai ke jannat meñ

    husūl-e-ilm ḳhātir jo jaan vaare ga.e

    chaman ujāḌne vaalo tumheñ ḳhudā samjhe

    tumheñ na aa.ī hayā phuul to hamāre ga.e

    rahegā yaad hameñ aane vaalī nasloñ tak

    vo naqsh-e-pā jo yahāñ ḳhuun se ubhāre ga.e

    salām merā 'azīm' un shahīd bachchoñ ko

    jo apnī jiit ḳhātir bhī jaan haare ga.e

    sukun-e-dil gaya nazron se sab qatare gae

    chaman mein khilte hue jab se phul mare gae

    hawa-e-maut zara der kya idhar aai

    ki mere hath se uD kar mere ghubare gae

    ye kaisi karbala barpa hui peshawar mein

    lahu mein Dube hue mere bachche mare gae

    unhen hi martaba milta hai ja ke jannat mein

    husul-e-ilm ki KHatir jo jaan ware gae

    chaman ujaDne walo tumhein KHuda samjhe

    tumhein na aai haya phul to hamare gae

    rahega yaad hamein aane wali naslon tak

    wo naqsh-e-pa jo yahan KHun se ubhaare gae

    salam mera 'azim' un shahid bachchon ko

    jo apni jit ki KHatir bhi jaan haare gae

    Source:

    Adab-o-Saqafat International (Pg. 107)

    • Author: Shakeelsarosh
      • Publisher: Misal Publishers Raheem Center Press Market Ameen Pur Bazar, Faisalbad, Pakistan

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now