Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

suna rahe hain koi git raste mujhko

Dr. Mobashshera Sadaf 'Ghazal'

suna rahe hain koi git raste mujhko

Dr. Mobashshera Sadaf 'Ghazal'

MORE BYDr. Mobashshera Sadaf 'Ghazal'

    sunā rahe haiñ koī giit rāste mujh ko

    ye kah rahe haiñ mire paañv kaan de mujh ko

    adhūrī rakkhī hai tasvīr us ne duniyā

    banā le puurī to likhne ko phir kahe mujh ko

    koī to ishq parcham kahīñ buland kare

    to aadmī bhī kabhī aadmī lage mujh ko

    tamām umr sunī maiñ ne apne dil magar

    maiñ chāhtī huuñ mirā dil kabhī sune mujh ko

    jo dil ke siip meñ kuchh hasratoñ ke motī haiñ

    tire uchhāle ye kankaḌ haiñ mil ga.e mujh ko

    charāġh kah ke in āñkhoñ ko kyā kiyā ne

    ki ab to rone meñ bhī Dar lage mujh ko

    mire vajūd paudā kaho lagegā kahāñ

    nishāt-o-ġham jaḌoñ meñ tumhīñ mile mujh ko

    banāyā zaḳhm to pighlā ke mom bhī Daalā

    har ek zaḳhm ye sūraj ab lage mujh ko

    ġhazal ke saath zamāna to chal nahīñ saktā

    nahīñ hai sāñcha koī jo ki Dhaal le mujh ko

    suna rahe hain koi git raste mujh ko

    ye kah rahe hain mere panw kan de mujh ko

    adhuri rakkhi hai taswir us ne duniya ki

    bana le puri to likhne ko phir kahe mujh ko

    koi to ishq ka parcham kahin buland kare

    to aadmi bhi kabhi aadmi lage mujh ko

    tamam umr suni main ne apne dil ki magar

    main chahti hun mera dil kabhi sune mujh ko

    jo dil ke sip mein kuchh hasraton ke moti hain

    tere uchhaale ye kankaD hain mil gae mujh ko

    charagh kah ke in aankhon ko kya kiya tu ne

    ki ab to rone mein bhi Dar sa hi lage mujh ko

    mere wajud ka pauda kaho lagega kahan

    nishat-o-gham ki jaDon mein tumhin mile mujh ko

    banaya zaKHm to pighla ke mom bhi Dala

    har ek zaKHm ye suraj sa ab lage mujh ko

    ghazal ke sath zamana to chal nahin sakta

    nahin hai sancha koi jo ki Dhaal le mujh ko

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now