Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

surKH chaman zanjir kiye hain sabz samundar laya hun

Saqi Faruqi

surKH chaman zanjir kiye hain sabz samundar laya hun

Saqi Faruqi

MORE BYSaqi Faruqi

    Interesting Fact

    Saqi Farooqi himself has said that this ghazal is a manifesto of his poetry.

    surḳh chaman zanjīr kiye haiñ sabz samundar laayā huuñ

    maiñ to duniyā bhar ke manzar āñkhoñ meñ bhar laayā huuñ

    jañgal the aur log purāne sog pahan kar sote the

    ek anokhe ḳhvāb se apnī jaan chhuḌā kar laayā huuñ

    maiñ itnā mohtāj nahīñ huuñ itnā māyūs na ho

    aaj barahna-chashm nahīñ ashkoñ chādar laayā huuñ

    sirf nashāt-añgez fazā meñ lahje tahzīb huī

    dekh apne nauhoñ ke alam naġhmoñ ke barābar laayā huuñ

    'sāqī' yādoñ fasdoñ se jiitā jiitā ḳhuun bahe

    maiñ rañgoñ fasleñ kaaT ke aaj apne ghar laayā huuñ

    surKH chaman zanjir kiye hain sabz samundar laya hun

    main to duniya bhar ke manzar aankhon mein bhar laya hun

    jangal the aur log purane sog pahan kar sote the

    ek anokhe KHwab se apni jaan chhuDa kar laya hun

    main itna mohtaj nahin hun tu itna mayus na ho

    aaj barahna-chashm nahin ashkon ki chadar laya hun

    sirf nashat-angez faza mein lahje ki tahzib hui

    dekh apne nauhon ke alam naghmon ke barabar laya hun

    'saqi' yaadon ki fasdon se jita jita KHun bahe

    main rangon ki faslen kaT ke aaj apne ghar laya hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now