Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

surma jo zeb-e-chashm-e-siyah-fam ho gaya

Shah Akbar Danapuri

surma jo zeb-e-chashm-e-siyah-fam ho gaya

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    surma jo zeb-e-chashm-e-siyah-fām ho gayā

    fitna savār-e-ablaq-e-ayyām ho gayā

    paimāne ke tavāf meñ hai mai-kashoñ aañkh

    tār-e-nigāh un ḳhat-e-jām ho gayā

    aaya jo sair ko lab-e-sāhil vo bāda-nosh

    dariyā meñ jo habāb uThā jaam ho gayā

    ai dil firāq-e-yār meñ marnā hai zindagī

    jāñbāz āshiqoñ meñ tirā naam ho gayā

    TukḌe dil-o-jigar ke uḌāne se fā.eda

    ai teġh-e-nāz ab to mirā kaam ho gayā

    zulfoñ yaad meñ nazar aaya jo rū-e-yār

    thā kufr ḳhayāl par islām ho gayā

    us zulf ke ḳhayāl ne afsurda-dil kiyā

    ThanDā charāġh-e-umr sar-e-shām ho gayā

    milte nahīñ vo ham se ab itne za.iif haiñ

    labrez umr-e-ḳhizr bhī jaam ho gayā

    tāqat badan meñ aa ga.ī chehra bahāl hai

    tashrīf laa.e aap ki ārām ho gayā

    shaam ko jo aaya Tahalne ke vāste

    sartāj-e-koh-e-tūr tirā baam ho gayā

    surme se uḌ chalā tirī āñkhoñ husn aur

    kyā tez-gām ablaq-e-ayyām ho gayā

    ham ibtidā-e-ishq meñ ho ga.e tamām

    āġhāz jis ko samjhe the anjām ho gayā

    ḳhil.at diyā jo zaḳhmoñ qātil teġh ne

    nām-āvarī ḳhuub sar-anjām ho gayā

    kahtā hai taan se hameñ banda-e-ḳhudā

    itnā mizāj o but-e-ḳhud-kām ho gayā

    qāsid ne be-dhaḌak jo sunāyā javāb-e-shauq

    paiġhām-e-yār maut paiġhām ho gayā

    phailā ye sehr-e-chashm-e-fusūñ-sāz yaar

    paTna hamārā ḳhitta-e-āshām ho gayā

    qismat meñ puḳhtagī jo na roz-e-azal se thī

    jo phal hameñ milā samar-e-ḳhām ho gayā

    us rashk-e-gul ne dekhte said kar liyā

    tār-e-nigāh-e-nāz mujhe daam ho gayā

    ab zikr bhī hamārā tumheñ nāgavār hai

    aisā zalīl āshiq-e-nākām ho gayā

    hāsil huī hai ye barakat na.at-e-pāk se

    'akbar' tirā bhī shāh-e-suḳhan naam ho gayā

    surma jo zeb-e-chashm-e-siyah-fam ho gaya

    fitna sawar-e-ablaq-e-ayyam ho gaya

    paimane ke tawaf mein hai mai-kashon ki aankh

    tar-e-nigah un ka KHat-e-jam ho gaya

    aaya jo sair ko lab-e-sahil wo baada-nosh

    dariya mein jo habab uTha jam ho gaya

    ai dil firaq-e-yar mein marna hai zindagi

    jaanbaz aashiqon mein tera nam ho gaya

    TukDe dil-o-jigar ke uDane se faeda

    ai tegh-e-naz ab to mera kaam ho gaya

    zulfon ki yaad mein nazar aaya jo ru-e-yar

    tha kufr ka KHayal par islam ho gaya

    us zulf ke KHayal ne afsurda-dil kiya

    ThanDa charagh-e-umr sar-e-sham ho gaya

    milte nahin wo hum se ab itne zaif hain

    labrez umr-e-KHizr ka bhi jam ho gaya

    taqat badan mein aa gai chehra bahaal hai

    tashrif lae aap ki aaram ho gaya

    tu sham ko jo aaya Tahalne ke waste

    sartaj-e-koh-e-tur tera baam ho gaya

    surme se uD chala teri aankhon ka husn aur

    kya tez-gam ablaq-e-ayyam ho gaya

    hum ibtida-e-ishq hi mein ho gae tamam

    aaghaz jis ko samjhe the anjam ho gaya

    KHilat diya jo zaKHmon ka qatil ki tegh ne

    nam-awari ka KHub sar-anjam ho gaya

    kahta hai tan se tu hamein banda-e-KHuda

    itna mizaj o but-e-KHud-kaam ho gaya

    qasid ne be-dhaDak jo sunaya jawab-e-shauq

    paigham-e-yar maut ka paigham ho gaya

    phaila ye sehr-e-chashm-e-fusun-saz yar ka

    paTna hamara KHitta-e-asham ho gaya

    qismat mein puKHtagi jo na roz-e-azal se thi

    jo phal hamein mila samar-e-KHam ho gaya

    us rashk-e-gul ne dekhte hi said kar liya

    tar-e-nigah-e-naz mujhe dam ho gaya

    ab zikr bhi hamara tumhein nagawar hai

    aisa zalil aashiq-e-nakaam ho gaya

    hasil hui hai ye barakat nat-e-pak se

    'akbar' tera bhi shah-e-suKHan nam ho gaya

    Source:

    Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 75)

    • Author: Shah Akbar Danapuri
      • Publisher: Matba Shaukat Shahjahani, Agra
      • Year of Publication: 1896
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now