Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sukha banjh mahina maula pani de

Muzaffar Hanfi

sukha banjh mahina maula pani de

Muzaffar Hanfi

MORE BYMuzaffar Hanfi

    sūkhā bāñjh mahīna maulā paanī de

    sāvan piiTe siina maulā paanī de

    saarī jhīleñ dhuul uḌāne vāloñ

    andhā har ā.īna maulā paanī de

    dariyā nekī sūkhī khetī ḳhud-ġharzī

    bhūkā peT kamīna maulā paanī de

    fasleñ aate jaate lashkar kāTegā

    apne bhaag pasīna maulā paanī de

    machhlī haañp rahī hai sāñseñ lene ko

    kīchaḌ meñ kyā jiinā maulā paanī de

    miTTī par bauchhār 'muzaffar' sheroñ

    daana muul nagīna maulā paanī de

    sukha banjh mahina maula pani de

    sawan piTe sina maula pani de

    sari jhilen dhul uDane walon ki

    andha har aaina maula pani de

    dariya neki sukhi kheti KHud-gharzi

    bhuka peT kamina maula pani de

    faslen aate jate lashkar kaTega

    apne bhag pasina maula pani de

    machhli hanp rahi hai sansen lene ko

    kichaD mein kya jina maula pani de

    miTTi par bauchhaar 'muzaffar' sheron ki

    dana mul nagina maula pani de

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 498)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now