suraj jaisa jism tha jis se baiThe the hum saT ke
sūraj jaisā jism thā jis se baiThe the ham saT ke
āñkheñ chauñdha.īñ to ham ne dekhā pīchhe haT ke
jannat se uktā.e hue do dil duniyā meñ ram ga.e
āsmān se girne vaale aa ke khajūr meñ aTke
raushnīyoñ se bhāgne vaale log haiñ dekho in kī
āñkhoñ ko scrēneñ khā ga.iiñ aur diloñ ko khaTke
billiyoñ bhāge chhīñke TuuTe aur qismat ke maare
kavvoñ ko bharne paḌ rahe haiñ kankar chun chun maTke
'umreñ biit ga.iiñ tab jā kar kaam hunar aa.e haiñ
phande lagānā siikh ga.e haiñ ham rassī baT baT ke
'ishq hai registān so is meñ kaise sāvan bhādoñ
kabhī kabhī aa jaate haiñ kuchh bādal bhūle bhaTke
prem-nagar meñ māñgne vaale bhūkoñ mar jaate haiñ
is bastī meñ khā nahīñ saktā koī chhīn jhapaT ke
us ke sāmne yuuñ haiñ jaise saañp ne sūñgh liyā ho
hoñToñ pe taale lag ga.e haiñ aaj har ik muñh-phaT ke
raajā jī to jo bhī jī meñ aayā bake jaate the
ammāñ jhuñjhlā kar ye bolīñ aag lage lampaT ke
suraj jaisa jism tha jis se baiThe the hum saT ke
aankhen chaundhain to hum ne dekha pichhe haT ke
jannat se uktae hue do dil duniya mein ram gae
aasman se girne wale aa ke khajur mein aTke
raushniyon se bhagne wale log hain dekho in ki
aankhon ko screenen kha gain aur dilon ko khaTke
billiyon bhage chhinke TuTe aur qismat ke mare
kawwon ko bharne paD rahe hain kankar chun chun maTke
'umren bit gain tab ja kar kaam hunar aae hain
phande lagana sikh gae hain hum rassi baT baT ke
'ishq hai registan so is mein kaise sawan bhadon
kabhi kabhi aa jate hain kuchh baadal bhule bhaTke
prem-nagar mein mangne wale bhukon mar jate hain
is basti mein kha nahin sakta koi chhin jhapaT ke
us ke samne yun hain jaise sanp ne sungh liya ho
honTon pe tale lag gae hain aaj har ek munh-phaT ke
raja ji to jo bhi ji mein aaya bake jate the
amman jhunjhla kar ye bolin aag lage lampaT ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.