Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ta-dasht-e-adam aah-e-rasa le gai mujhko

Lala Madhav Ram Jauhar

ta-dasht-e-adam aah-e-rasa le gai mujhko

Lala Madhav Ram Jauhar

MORE BYLala Madhav Ram Jauhar

    tā-dasht-e-adam āh-e-rasā le ga.ī mujh ko

    jab ḳhaak huā maiñ to havā le ga.ī mujh ko

    kosoñ mai-e-gulgūñ havā le ga.ī mujh ko

    ye laal parī ghar se uḌā le ga.ī mujh ko

    muddat se na miltī thī kahīñ raah adam

    us shoḳh ke kūche meñ qazā le ga.ī mujh ko

    thā zo.af meñ saudā kisī sahrā-e-junūñ

    vahshat mire ghar aa ke bulā le ga.ī mujh ko

    'jauhar' taraf-e-kūcha-e-jānāñ jo gayā maiñ

    kyā jaane kidhar ye havā le ga.ī mujh ko

    ta-dasht-e-adam aah-e-rasa le gai mujh ko

    jab KHak hua main to hawa le gai mujh ko

    koson mai-e-gulgun ki hawa le gai mujh ko

    ye lal pari ghar se uDa le gai mujh ko

    muddat se na milti thi kahin rah adam ki

    us shoKH ke kuche mein qaza le gai mujh ko

    tha zoaf mein sauda kisi sahra-e-junun ka

    wahshat mere ghar aa ke bula le gai mujh ko

    'jauhar' taraf-e-kucha-e-jaanan jo gaya main

    kya jaane kidhar ki ye hawa le gai mujh ko

    Source:

    Intekhab Kalam Lala M.R Jauhar (Pg. 48)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now