Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talluqat to mafruze zindagi ke hain

Jameel Mazhari

talluqat to mafruze zindagi ke hain

Jameel Mazhari

MORE BYJameel Mazhari

    ta.alluqāt to mafrūze zindagī ke haiñ

    yahāñ na koī hai apnā na ham kisī ke haiñ

    na ishq ke asar haiñ na dushmanī ke haiñ

    ki saare zaḳhm mire dil pe dostī ke haiñ

    charāġh agarche numā.inde raushnī ke haiñ

    magar ye hai ki ye āsār tīrgī ke haiñ

    tumhārī tez-ravī degī kyā sivā-e-ġhubār

    ki naqsh-e-pā bhī natīje subuk-ravī ke haiñ

    shokūk kyā haiñ mire dost āgahī bulūġh

    yaqīn kyā hai gharauñde kuchh āgahī ke haiñ

    'jamīl' apnā suḳhan in pe rā.egāñ na karo

    ye maulvī suneñge ye maulvī ke haiñ

    talluqat to mafruze zindagi ke hain

    yahan na koi hai apna na hum kisi ke hain

    na ishq hi ke asar hain na dushmani ke hain

    ki sare zaKHm mere dil pe dosti ke hain

    charagh agarche numainde raushni ke hain

    magar ye hai ki ye aasar tirgi ke hain

    tumhaari tez-rawi degi kya siwa-e-ghubar

    ki naqsh-e-pa bhi natije subuk-rawi ke hain

    shokuk kya hain mere dost aagahi ka bulugh

    yaqin kya hai gharaunde kuchh aagahi ke hain

    'jamil' apna suKHan in pe raegan na karo

    ye maulwi ki sunenge ye maulwi ke hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now