aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talash jis nur ki hai tujhko chhupa hai tere badan ke andar

Pandit Jawahar Nath Saqi

talash jis nur ki hai tujhko chhupa hai tere badan ke andar

Pandit Jawahar Nath Saqi

MORE BYPandit Jawahar Nath Saqi

    talāsh jis nuur hai tujh ko chhupā hai tere badan ke andar

    zuhūr-e-ālam huā usī se vo hai har ik jān-o-tan ke andar

    tujhe ye be-sarfa jadd-o-kad hai kashākashī meñ bhī shadd-o-mad hai

    nafas tujh ko agar madad hai safar hai is vatan ke andar

    tujhe vahāñ se gurez o ram hai talāsh ab āhū-e-haram hai

    chalā hai vo raah jo bharam hai, hai mushk-e-nāfa ḳhutan ke andar

    jahāñ meñ saarā hai nuur terā har ek shai meñ zuhūr terā

    magar taḳhayyul hai duur terā paḌā hai bait-ul-huzan ke andar

    muhaqqiq mujaddid banā hai aap muqallid

    rasm-o-rah huā muqayyad phañsā hai ḳhud mā-o-man ke andar

    qadīm vīrāñ-kada hai hastī samajh ise hai fanā bastī

    ye terī himmat sab hai pastī zubūñ hai dahr-e-kuhan ke andar

    ajiib ahmaq hai aur saada savār ho kar huā piyāda

    kidhar chalā ye nahīñ hai jaada kyuuñ bhaTaktā hai ban ke andar

    ye ātish-e-ishq hai jiddat ki dil meñ paidā huī hai riqqat

    ye soz-e-ġham milī hai lazzat maza hai dil jalan ke andar

    huā hai mast-e-sharāb-e-gulgūñ akaḌ rahā hai vo sarv-e-mauzūñ

    dikhā ke ham ko ye jām-e-vāzūñ ḳhajil kiyā anjuman ke andar

    huā hai sarshār vahm-e-'sāqī' tujhe nahīñ shauq-e-vasl baaqī

    havā-e-duniyā hai mirāqī paḌā hai āvāgavan ke andar

    talash jis nur ki hai tujh ko chhupa hai tere badan ke andar

    zuhur-e-alam hua usi se wo hai har ek jaan-o-tan ke andar

    tujhe ye be-sarfa jadd-o-kad hai kashakashi mein bhi shadd-o-mad hai

    nafas ki tujh ko agar madad hai safar hai is ja watan ke andar

    tujhe wahan se gurez o ram hai talash ab aahu-e-haram hai

    chala hai wo rah jo bharam hai, hai mushk-e-nafa KHutan ke andar

    jahan mein sara hai nur tera har ek shai mein zuhur tera

    magar taKHayyul hai dur tera paDa hai bait-ul-huzan ke andar

    tu hi muhaqqiq tu hi mujaddid bana hai tu aap hi muqallid

    tu rasm-o-rah ka hua muqayyad phansa hai KHud ma-o-man ke andar

    qadim viran-kada hai hasti samajh ise hai fana ki basti

    ye teri himmat ki sab hai pasti zubun hai dahr-e-kuhan ke andar

    ajib ahmaq hai aur sada sawar ho kar hua piyaada

    kidhar chala ye nahin hai jada tu kyun bhaTakta hai ban ke andar

    ye aatish-e-ishq ki hai jiddat ki dil mein paida hui hai riqqat

    ye soz-e-gham ki mili hai lazzat maza hai dil ki jalan ke andar

    hua hai mast-e-sharab-e-gulgun akaD raha hai wo sarw-e-mauzun

    dikha ke hum ko ye jam-e-wazun KHajil kiya anjuman ke andar

    hua hai sarshaar wahm-e-'saqi' tujhe nahin shauq-e-wasl baqi

    hawa-e-duniya ka hai miraqi paDa hai aawagawan ke andar

    Source:

    Kulliyat-e-Saaqi (Pg. e-78 p-75)

    • Author: Pandit Jawahar Nath Saqi
      • Edition: 1926
      • Publisher: Pandit Jawahar Nath Saqi
      • Year of Publication: 1926
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now