Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

talwar le rahe the himayat mein phul ki

Lutf-ur-rahman

talwar le rahe the himayat mein phul ki

Lutf-ur-rahman

MORE BYLutf-ur-rahman

    talvār le rahe the himāyat meñ phuul

    patjhaḌ ke morchoñ meñ ajab ham ne bhuul

    apne lahū se shaam ko sairāb kar diyā

    din bhar ke intizār qīmat vasūl

    bikhrā hai is tarah se har ik zarra-e-vajūd

    sūrat nahīñ hai koī bhī apne husūl

    hamdardiyoñ ke tiir se zaḳhmī na kar mazīd

    ham ne to ḳhud chunī thiiñ ye rāheñ babūl

    ḳhushbū tarah ham haiñ ḳharābī meñ dahr

    ye shāḳh-e-gul palī thī fazāoñ meñ dhuul

    talwar le rahe the himayat mein phul ki

    patjhaD ke morchon mein ajab hum ne bhul ki

    apne lahu se sham ko sairab kar diya

    din bhar ke intizar ki qimat wasul ki

    bikhra hai is tarah se har ek zarra-e-wajud

    surat nahin hai koi bhi apne husul ki

    hamdardiyon ke tir se zaKHmi na kar mazid

    hum ne to KHud chuni thin ye rahen babul ki

    KHushbu ki tarah hum hain KHarabi mein dahr ki

    ye shaKH-e-gul pali thi fazaon mein dhul ki

    Source:

    Bihar Mein Jadeed Ghazal (Pg. 38)

      • Publisher: Ataullah Khan Alwi
      • Year of Publication: 1955
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now