aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamam duniya mein DhunD aaya main gum-shuda zindagi ki surat

Sarwar Alam Raz

tamam duniya mein DhunD aaya main gum-shuda zindagi ki surat

Sarwar Alam Raz

MORE BYSarwar Alam Raz

    tamām duniyā meñ DhūñD aayā maiñ gum-shuda zindagī sūrat

    milī to mujh ko hayāt-e-muztar magar milī ajnabī sūrat

    sabaq hai sīkhā ham ahl-e-dil ne ye ijz sar-bulandiyoñ se

    ki ek sajda hai kaafī lekin ho bandagī bandagī sūrat

    ajiib dastūr-e-āshiqī hai na maiñ maiñ huuñ na tum tum ho

    na dostī dostī sūrat na dushmanī dushmanī sūrat

    ḳhabar tasavvur ḳhayāl īmāñ gumāñ yaqīñ fikr ilm hikmat

    maqām-e-ḳhud-āgahī ke aage savād-e-kam-āgahī sūrat

    barahna-sar ābla-gazīda shikasta-dil pairahan-darīda

    maqām-e-sidra pe soch meñ huuñ koī hai parda-darī sūrat

    milā sar-e-rāh ḳhud se jab maiñ ajiib apnā haal dekhā

    kisī āñkheñ kisī chehra nazar kisī kisī sūrat

    na pūchh mujh se ki maiñ kahāñ huuñ mujhe to kuchh bhī patā nahīñ hai

    ki apnī sūrat meñ aa rahī hai nazar mujhe har kisī sūrat

    ye sach hai duniyā meñ aur hoñge jamīl-o-ḳhush-rū hasīn-o-dilbar

    pasand aa.ī magar hameñ to janāb-e-man aap sūrat

    na jaane kab se khaḌā thā 'sarvar' ik āstīn-e-umīd thāme

    vo niklā ḳhud se ġhair-hāzir huī ajab hāzirī sūrat

    tamam duniya mein DhunD aaya main gum-shuda zindagi ki surat

    mili to mujh ko hayat-e-muztar magar mili ajnabi ki surat

    sabaq hai sikha hum ahl-e-dil ne ye ijz ki sar-bulandiyon se

    ki ek sajda hai kafi lekin ho bandagi bandagi ki surat

    ajib dastur-e-ashiqi hai na main hi main hun na tum hi tum ho

    na dosti dosti ki surat na dushmani dushmani ki surat

    KHabar tasawwur KHayal iman guman yaqin fikr ilm hikmat

    maqam-e-KHud-agahi ke aage sawad-e-kam-agahi ki surat

    barahna-sar aabla-gazida shikasta-dil pairahan-darida

    maqam-e-sidra pe soch mein hun koi hai parda-dari ki surat

    mila sar-e-rah KHud se jab main ajib hi apna haal dekha

    kisi ki aankhen kisi ka chehra nazar kisi ki kisi ki surat

    na puchh mujh se ki main kahan hun mujhe to kuchh bhi pata nahin hai

    ki apni surat mein aa rahi hai nazar mujhe har kisi ki surat

    ye sach hai duniya mein aur honge jamil-o-KHush-ru hasin-o-dilbar

    pasand aai magar hamein to janab-e-man aap ki hi surat

    na jaane kab se khaDa tha 'sarwar' ek aastin-e-umid thame

    wo nikla KHud se hi ghair-hazir hui ajab haziri ki surat

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now