Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tamasha rahguzar-dar-rahguzar afsos ka hai

Khurshid Talab

tamasha rahguzar-dar-rahguzar afsos ka hai

Khurshid Talab

MORE BYKhurshid Talab

    tamāsha rahguzar-dar-rahguzar afsos hai

    bhale ḳhush haiñ sab lekin safar afsos hai

    bahishtī baaġh sab titliyāñ haiñ par-burīda

    shikasta rañg tā-hadd-e-nazar afsos hai

    abhī itrā rahe haiñ sākinān-e-qasr-shāhī

    abhī āñkhoñ se un ke mahv ghar afsos hai

    havelī ab kahāñ jo qahqahoñ se gūñjtī thī

    jahāñ tak dekhtā huuñ maiñ khañDar afsos hai

    kahāñ mumkin tire ishrat-kade meñ shaam kāTeñ

    abhī to sāmnā har gaam par afsos hai

    azīzo aao ab ik alvidā'ī jashn kar leñ

    ki is ke baa'd ik lambā safar afsos hai

    tamasha rahguzar-dar-rahguzar afsos ka hai

    bhale hi KHush hain sab lekin safar afsos ka hai

    bahishti bagh ki sab titliyan hain par-burida

    shikasta rang ta-hadd-e-nazar afsos ka hai

    abhi itra rahe hain sakinan-e-qasr-shahi

    abhi aankhon se un ke mahw ghar afsos ka hai

    haweli ab kahan jo qahqahon se gunjti thi

    jahan tak dekhta hun main khanDar afsos ka hai

    kahan mumkin tere ishrat-kade mein sham kaTen

    abhi to samna har gam par afsos ka hai

    azizo aao ab ek alwida'i jashn kar len

    ki is ke ba'd ek lamba safar afsos ka hai

    Source:

    Ghazal Ke Rang (Pg. 139)

    • Author: Akram Naqqash, Sohil Akhtar
      • Edition: 2014
      • Publisher: Aflaak Publications, Gulbarga
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now