aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tanhai se bachaw ki surat nahin karun

Ahmad Kamal Parwazi

tanhai se bachaw ki surat nahin karun

Ahmad Kamal Parwazi

MORE BYAhmad Kamal Parwazi

    tanhā.ī se bachāv sūrat nahīñ karūñ

    mar jā.ūñ kyā kisī se mohabbat nahīñ karūñ

    sū-e-falak havā.ī safar hai to kyā huā

    Dar jā.ūñ māhtāb sūrat nahīñ karūñ

    āñkheñ haiñ sharāb ke sāġhar bhare hue

    jā.ūñ kyā ḳhayāl-e-sharī.at nahīñ karūñ

    qabze meñ un ke shahr-e-tilismāt sahī

    kho jā.ūñ kyā ḳhudā ibādat nahīñ karūñ

    jab tai huā ki raushnī parvardigār hai

    pahlū bachā.ūñ us itā.at nahīñ karūñ

    bazm-e-suḳhan-tarāz meñ nākām hoñ to kyā

    chillā.ūñ apne fan hifāzat nahīñ karūñ

    vo aa gayā 'kamāl' qīmat ke ās-pās

    bik jā.ūñ apne sach hifāzat nahīñ karūñ

    tanhai se bachaw ki surat nahin karun

    mar jaun kya kisi se mohabbat nahin karun

    su-e-falak hawai safar hai to kya hua

    Dar jaun mahtab ki surat nahin karun

    aankhen hain ya sharab ke saghar bhare hue

    pi jaun kya KHayal-e-shariat nahin karun

    qabze mein un ke shahr-e-tilismat hi sahi

    kho jaun kya KHuda ki ibaadat nahin karun

    jab tai hua ki raushni parwardigar hai

    pahlu bachaun us ki itaat nahin karun

    bazm-e-suKHan-taraaz mein nakaam hon to kya

    chillaun apne fan ki hifazat nahin karun

    wo aa gaya 'kamal' ki qimat ke aas-pas

    bik jaun apne sach ki hifazat nahin karun

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tanhai se bachaw ki surat nahin karun Nomaan Shauque

    Source:

    Chandi Ka waraq (Pg. 158)

    • Author: Ahmad Kamal Parvazi
      • Edition: 2009
      • Publisher: Surkhwab Publication
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now