Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fasad har jagah barpa hai kya kiya jae

Rauf Raheem

fasad har jagah barpa hai kya kiya jae

Rauf Raheem

MORE BYRauf Raheem

    fasād har jagah barpā hai kyā kiyā jaa.e

    mizāj-e-qaum aisā hai kyā kiyā jaa.e

    jo maz.habī the masā.il vo ab siyāsī haiñ

    yahīñ to daal meñ kaalā hai kyā kiyā jaa.e

    udhār piite the ġhālib to ye churātā hai

    chachā se aage bhatījā hai kyā kiyā jaa.e

    ham apnī naak khujāne se ho ga.e qāsir

    hamāre sāmne nakTā hai kyā kiyā jaa.e

    hai ḳhud-kushī ab anjām ishq-bāzī

    hamāre ḳhvāb meñ rekhā hai kyā kiyā jaa.e

    adū ke ghūñse haiñ to mār-pīT sāloñ

    yahī to ishq meñ hotā hai kyā kiyā jaa.e

    purānā shahr hai badnām qatl-o-ḳhūñ ke liye

    magar isī meñ to jiinā hai kyā kiyā jaa.e

    har ek sher hamārā hai tanz nashtar

    hamārā lahja tīkhā hai kyā kiyā jaa.e

    Dhakā chhupā nahīñ farhād-o-qais anjām

    'rahīm' aql andhā hai kyā kiyā jaa.e

    fasad har jagah barpa hai kya kiya jae

    mizaj-e-qaum hi aisa hai kya kiya jae

    jo mazhabi the masail wo ab siyasi hain

    yahin to dal mein kala hai kya kiya jae

    udhaar pite the ghaalib to ye churaata hai

    chacha se aage bhatija hai kya kiya jae

    hum apni nak khujaane se ho gae qasir

    hamare samne nakTa hai kya kiya jae

    hai KHud-kushi hi ab anjam ishq-bazi ka

    hamare KHwab mein rekha hai kya kiya jae

    adu ke ghunse hain to mar-piT salon ki

    yahi to ishq mein hota hai kya kiya jae

    purana shahr hai badnam qatl-o-KHun ke liye

    magar isi mein to jina hai kya kiya jae

    har ek sher hamara hai tanz ka nashtar

    hamara lahja hi tikha hai kya kiya jae

    Dhaka chhupa nahin farhad-o-qais ka anjam

    'rahim' aql ka andha hai kya kiya jae

    Source:

    Khuda Khair Kare (Pg. 40)

    • Author: Rauf Raheem
      • Publisher: Zinda Dilan-e-Hyderabad

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now