Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

jo bojh hai dil par use kam karte rahenge

Rauf Raheem

jo bojh hai dil par use kam karte rahenge

Rauf Raheem

MORE BYRauf Raheem

    jo bojh hai dil par use kam karte rahenge

    shā.ir haiñ to har naak meñ dam karte rahenge

    ye pārTī achchhī hai na vo pārTī achchhī

    leader ko zarūrī hai udham karte rahenge

    le ā.eñge sāmān ko custam se bachā kar

    is tarah se ham sair-e-haram karte rahenge

    ahbāb ko le Dūbeñge ahvāl sunā kar

    vābastoñ ko vābasta-e-ġham karte rahenge

    ye roz-e-mulāqāt mālūm thā ham ko

    māshūq jo haiñ aap sitam karte rahenge

    beTe jo chale jā.eñge sasurāl ke ghar ko

    ham baap haiñ aulād ġham karte rahenge

    ham naam pe firqoñ ke laḌā.enge 'rahīm' ab

    yuuñ parvarish-e-dair-o-haram karte rahenge

    jo bojh hai dil par use kam karte rahenge

    shair hain to har nak mein dam karte rahenge

    ye parTi achchhi hai na wo parTi achchhi

    leader ko zaruri hai udham karte rahenge

    le aaenge saman ko custam se bacha kar

    is tarah se hum sair-e-haram karte rahenge

    ahbab ko le Dubenge ahwal suna kar

    wabaston ko wabasta-e-gham karte rahenge

    ye roz-e-mulaqat hi malum tha hum ko

    mashuq jo hain aap sitam karte rahenge

    beTe jo chale jaenge sasural ke ghar ko

    hum bap hain aulad ka gham karte rahenge

    hum nam pe firqon ke laDaenge 'rahim' ab

    yun parwarish-e-dair-o-haram karte rahenge

    Source:

    Khuda Khair Kare (Pg. 112)

    • Author: Rauf Raheem
      • Publisher: Zinda Dilan-e-Hyderabad

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now